Google Se Copyright Free Images Kaise Download Kare

Friends ager aap ek youtuber ya blogger hai to aap jarur jante honge ki internet par aisi bahut si websites hai jaha par hume millions copyright free images mil jati hai, jinhe hum bina copyright ke darr ke apne youtube video ya blog post me istemal kar skte hai.

But jaisa ki aap jante hai ki un websites par limited images hi hoti hai ish liye kai baar hume un par apni pasand ya topic se related image nhi milti hai, jabki ager hum wohi keywords google me search kare to humare samne aisi bahut si achhi achhi photos search result me aa jati hai jo ki humare topic se related hoti hai.


But phir bhi hum google ki un images ko apne youtube videos ya blog par reuse nhi kar skte hai. kyunki wo images royalty free nhi hoti hai ish liye ager hum unhe reuse karte hai to hume copyright strike mil skti hai. Ish liye hum chahte huye bhi google ki images ko reuse nhi kar pate hai.


But aaj ish post me hum aapko ek aisa method batane wale hai jisko ager aap google me images search karte time use karte hai to aapko search result me sirf wohi images dikhai dengi jo ki 100% copyright free hongi. Ish liye aap google ki un non copyrighted ya royalty free photos ko download karke apne blog ya channel par reuse kar skte hai. Ish se related kuch sawal bhi hai jo aksar puchhe jate hai jaise ki…

Kya hum google se download ki gyi photo ko apne blog ya channel par dubara upload kar skte hai ?

Google se download ki gyi images ko kaise use kare ki copyright na aaye ?

Google se non copyrighted images kaise download kare ?

Inke alawa bhi bahut sare sawal hai jo ki aksar puchhe gye hai jinka jwab aapko yaha milne wala hai.

To chliye abhi topic start karte hai aur baat karte hai ki google se copyright free ya royalty free images kaise download karte hai ?


Google Se Copyright Free Images Kaise Download Kare


Iske liye sabse pahle apne mobile ya computer ke chrome browser me Google ki site par jaye aur wo keywords search kare jinse related images aap download karna chahte hai.

( Ager aap mobile use kar rhe hai to chrome browser me 3 dots par click karke site ka desktop mode enable kar le taki aapko apne android mobile me hi desktop wale sabhi options mil jaye. )

Keywords search karne me baad apke samne kuch ish trah ka page open ho jayega.


1. Yaha sabse pahle ‘Images’ par click karke results ko filter kar le taki aapko result me sirf images hi dikhai de.

2. Phir 'Tools' par click kare.

3. Uske baad niche kuch options aa jayenge ynha ‘Usage Rights’ par click kare, phir aapko kuch options milenge.


Yaha aapko 'Creative Commons License' par click karna hai.

Bas uske baad aapke samne sirf wohi images filter hokar aa jayengi jo ki copyright free hongi ish liye aap un images ko download karke apne youtube videos ya blog posts me reuse kar skte hai.


FAQ

Kya Google Image Par Copyright Aata Hai ? 

Agar aap 'Creative Commons License' ke alawa google se koi bhi image download krke use krte hai to ush par copyright aa sakta hai, 

Kya Google Se Copyright Free Image Download Karna Safe Hai ?

Agar aap 'Creative Commons License' wali images use karte hai to ye bilkul safe hai.

Copyright Free Image Download Krne Wali Websites Konsi Hai ?

Internet par aisi Kai website majud hai jo ki jin par aisi lakho image available hai jo ki copyright free hai inme kuch website ke naam hai Pixabay, Pixels, Stockvault, Pixahive, Flickr, Pxhere


To ish trike se aap google se copyright free images download kar skte hai aur unhe apne channel ya blog par reuse bhi kar skte hai.

To dosto ummid karta hun ki ye jankari aapko jarur pasand aayi hogi ager aapko ye jankari achhi lge to ishe apne dosto ke sath bhi share kare aur ager aapka koi sawal ho to aap comment karke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

2 टिप्पणियाँ