Copyright Free Videos Kaise Download Kare - Top 5 Websites

Friends ager aap ek youtuber hai to ye article aapke liye bahut hi important hone wala hai kyunki aaj ish article me hum aapko btayenge ki humare youtube channel par upload karne ke liye copyright free ya royalty free stock videos knha se aur kaise download karte hai.

Copyright Free Videos Kaise Download Kare - Top 5 Websites

Friends waise to internet par aisi bahut si websites hai jnha se hum royalty free yani non copyrighted videos free me download kar skte hai, but ynha hum aapko unme se jo best websites hai sirf unhi ke bare me btayenge.


Ynha hum jin websites ke bare me baat krne wale hai unse aap apni jarurat ke videos free me Mp4 se lekar Ultra HD quality me download kar skte hai aur unhe apne youtube videos me add karke apne channel par upload bhi kar skte hai.

In sites par aapko sabhi types ke videos categories ke hisab se mil jayenge, jinhe aap apni jarurat ke hisab se download karke use kar skte hai.

Ynha main aapko ek baat aur btana chahunga ki ye videos 100% copyright free honge ish liye aap tension free hokar inhe apne videos me add karke youtube ya other knhi par upload kar skte hai, inhe use karne se aapke channel par koi copyright strike nhi aayegi.


To chliye abhi hum aapko un top 5 websites ke bare me bta dete hai jinse aap apne youtube channel ke liye non copyrighted videos free me download kar skte hai.

Friends ynha hum aapko in top 5 site me se Pixabay naam ki ek site ke bare me details se btane wale hai, Kyunki ye site in 5 websites me se muje sabse achhi lgi hai. Waise baki sites bhi bahut achhi hai but ye muje sabse best lgi, ish liye main aapko iske bare me bta rha hun. To chaliye abhi iske bare me baat karte hai.

1. Pixabay Se Royalty Free Video Kaise Download Kare ?

Copyright free videos download karne ke liye ye best site hai, iske ander hume almost sabhi types ke videos alag alag quality yani resolution me jaise Mp4 se lekar 4k Ultra HD tak milte hai, jinhe hum categories ke hisab se ya search karke bhi download kar skte hai.

Pixabay se koi bhi free video download karne ke liye aapko isme koi account bnane ki bhi jarurat nhi padti hai. Ish liye hum bahut hi aasani se ish se stock videos download kar skte hai.


Videos ke alawa ye site apne users ko millions free stock images bhi provide karti hai, jinhe hum free me download karke apne blog post ya youtube video me add kar skte hai. Ish liye ager aapko copyright free images bhi chahiye to aap wo bhi ynha se free me download kar skte hai. Iske ander aapko her type ki images bahut hi achhi quality me mil jayengi.

Ish site se koi bhi footage free me download karne ke liye aapko sabse pahle Pixabay site par jana hai.


Uske baad option par click karke image ya video aap jo bhi download karna chahte hai wo select karke search box me wo keywords search kare jis se related footage aap download karna chahte hai.

Uske baad bahut sari footage/video/image aapke samne aa jayenge, aapko jo download karna ho ush par click kare.

Uske baad aisa page open hoga.


Ynha par 'Free Download' par click kare, uske baad aapko resolution select karne ke liye kaha jayega. So aap jis quality me ush video ko download karna chahe, utni resolution select karke download par click kar de, uske baad wo video download hona start ho jayega.


Iske alawa bhi kuch sites hai jin par aapko bahut achhe achhe video alag alag video qualities me mil jayenge jaise...

2. Pexel.com

3. Videvo.net

4. Videezy.com

5. Vidsplay.com

FAQ

Kya Internet Se Downloaded Video Par Copyright Claim Aa Sakta Hai ?

Ji haa internet se download kiye gye video par copyright claim aa sakta hai par aisi kuch website hai jinse video download karne par copyright nahi aata hai, aisi hi kuch website ke bare me ish article me btaya gya hai.

Copyright Free Video Download Karne Ki Top 5 Website Konsi Hai ?

1. Pixabay

2. Pexel.com

3. Videvo.net

4. Videezy.com

5. Vidsplay.com

Copyright Free Video Download Karne Ke Liye Sabse Best Website Konsi Hai ?

Pixabay

Copyright Free Video Without Watermark Kaise Download Kare ?

Ish article me humne aise 5 website ke bare me btaya hai jinse aap bina watermark ke copyright free video download kar sakte hai.

Non Copyrighted Indian Funny Videos Free Download Kaise Kare ?

Non copyrighted video download karne ki top 5 website ke bare me ish article me btaya gya hai.


To ye thi top 5 websites jaha se royalty free ya copyright free stock videos free me download kar skte hai. Ager ish post se related aapka koi sawal ho to aap comment karke puchh skte hai, aur ager aapko ye jankari achhi lge to ishe apne youtuber dosto ke sath bhi share kare taki wo bhi in free stock footage ko apne videos me add karke jyada se jyada views pa ske

एक टिप्पणी भेजें

6 टिप्पणियाँ