How To Hide Add Friend Button on Facebook ?
Friends facebook ek bahut badi social site hai jise millions log use karte hai aur ish par daily hajaro naye accounts bante hai. Ab kyunki facebook ko itne log use karte hai ish liye daily humare facebook account par aise kai logo ki friend requests aati hai jinhe hum nhi jante hai aur ladkiyo ( girls ) ke pass to ye bahut hi jyada aati hai ish liye wo inse preshan bhi rehti hai.Ager aap, aapki sister, girlfriend ya other koi bhi person facebook par aane wali in unwanted friend requests se preshan hai to iske liye sabse accha option yahi hai ki aap apni ya unki fb profile se Add Friend button ko hi hide kar de.
( Ager aap nhi chahte ki aapki girlfriend, sister ko koi unknown person friend request send kare to aap ish trick use kar skte hai. )
Aapne facebook use karte samay kai baar dekha bhi hoga ki kuch logo ki profile par friend request send krne ka koi button ya option hi nhi hota hai. Wo ish liye kyunki unhone unknown logo ke liye apne account se Add Friend button ko hide kiya hua hota hai. Unki trah aap bhi apni profile se Add Friend button ko hide kar skte hai.
Note:- Ish trick ko use krne se aapki facebook profile par sirf unknown logo ko Add Friend ka button nhi dikhai dega. Jo aapke mutual friends hai yani ki jo aapke dosto ke dosto hai unhe ye button dikhai dega, ish liye wo aapko friend request bhi send kar payenge.
Ye Bhi Padhe...
Ager aap ish jankari ko video me dekhna chahe to post ke last me aapko iska youtube video bhi mil jayega, jisme ishi ke bare me btaya gya hai.
Apni Facebook Profile Par Add Friend Button Ko Hide Kaise Kare ?
Step:- 1
Iske liye sabse pahle apne mobile me facebook app ya website par jaye aur apna account log in kare.
Step:- 2
Uske baad facebook ki Account Settings me jaye.
Step:- 3
Phir aisa page open hoga.
Phir next page me Public ki jgah Friends of Friends select karke settings ko save kare de.
Bas ab aapki facebook profile se Add Friend button hide ho jayega, but sirf unknown logo ke liye.
Ye Bhi Padhe...
To ish trike se aap apni facebook id se Add Friend button ko hide kar skte hai. Ager ish se relative aapka koi sawal ho to aap comment karke puchh skte hai.
0 टिप्पणियाँ