Android Mobile Me Kisi Bhi Website Ko Block Kaise Kare

Android Mobile Me Kisi Bhi Website Ko Block Kaise Kare:- Friends aaj kal internet ka istemal her age ke log karte hai, jinme chhote bache bhi hai. Ab kyunki bache bhi internet ka istemal karte hai ish liye humari jimedari hai ki hum unhe internet par sirf safe aur achhi website's hi serve krne de. Kyunki internet par kitni khrab aur bad sites hai, ye hum sabhi achhe se jante hai.

Android Mobile Me Kisi Bhi Website Ko Block Kaise Kare

Chhote bacho ke alawa ager aapke ghar me other koi aisa person hai, jo ki kisi particular website jaise facebook, twitter ya other kisi adult/porn site ko bahut jyada visit karta hai aur aap nhi chahte ko wo ush site ko use kare to aap un sites ko uske mobile me block kar skte hai.

Ek baar ush mobile me kisi bhi site ko block karne ke baad wo person chahe kitni bhi kosis kar le par wo apne mobile me ush particular site ko open nhi kar payega, jise aapne block kiya hai.

Ye Bhi Padhe...

Android Mobile Me Kisi Bhi Website Ko Block Kaise Kare


Iske liye sabse phale aapko ush mobile me ek app install karna hoga. Jiska naam 'Trend Micro Dr. Safety' hai. Ye ek antivirus application hai jisme kai features hai jaise...

1. Ish se hum apne android mobile ki files to scan kar skte hai.

2. Apni private photos ko lock kar skte hai.

3. Unwanted calls ko block kar skte hai.

4. Kisi bhi website ko block kar skte hai.

Ye application aapko play store se remove kar di gyi hai ishliye aap Google me search krke ish app ki apk file download kar skte hai. Iske alawa aap abhi niche link par click krke ish app ko download kar skte hai. 

Trend Micro Dr. Safety Application Abhi Download Karne Ke Liye Click Kare

Ish app ke dwara kisi bhi website ko block krne ke bare me batane se pahle ham aapko btana chahenge ki aap Google Family Link app ki help se bhi kisi bhi website ko block kar skte hai. Ish app me aapko kafi features milte hai jo ki aapke kaam aa skte hai. Iske alawa ye Google ki khud ki app hai isliye aap ish par trust bhi kar skte hai. 

Trend Micro Dr. Safety app ko install karne ke baad open kare. Open karne par iska interface ish trah se open ho jayega.


Yaha par aapko features par click karna hai. uske baad aapke samne bahut sare options aa jayenge jinhe aap apne hisab se use kar skte hai.


Yaha hum kisi bhi website ko block krne ke bare me baat kar rhe hai. Ish liye 'Safe Web Surfing' par click kare. Uske baad aisa page open hoga.


1. Yaha sabse pahle ishe ON kar le.

2. Phir 'Blocked List' par click kare.

Phir aage jo page open ho usme upper right corner me ek ( + ) icon hoga ush par click kare.

Phir aisa page open ho jayega.


1. Yaha par ush website ka title dale jise aap block karna chahte hai.

2. Yaha ush website ka full URL dale jise aap block krna chahte hai. Jaise example ke liye mene facebook ki site ka URL dala hai.

Bas itna karte hai wo website ush mobile me se block ho jayegi. Ek baar website ko block karne ke baad ush mobile me koi bhi person ush website ko open nhi kar payega. Jab ush website ko open karne ki kosis ki jayegi to ushe sirf ek error dikhai degi.

Ish trah se aap ush android mobile me jitni chahe utni website's ko block kar skte hai, aur ager aap un sites ko wapas unblock krna chahe to Safe Web Surfing ko off kar de. To wo sites wapas unblock ho jayengi.


FAQ Related to Block Website 

Mobile Me Website Block Kaise Karte Hai ?

Mobile me kisi bhi website ko block krne ke liye aap Google Family Link app ya Dr. Safety App ka use kar sakte hai.

Mobile Me Website Block Karne Wale Apps Konse Hai ?

Website block krne ke liye aap Trend Micro Dr. Safety App ya Google Family Link app ko download kar sakte hai.

How To Block Website On Chrome ?

Chrome browser me kisi bhi website ko block krne ka trika ish article me btaya gya hai, to aap ye pura article padh kar iske bare me puri jankari prapt kar sakte hai.

Ye Bhi Padhe...

एक टिप्पणी भेजें

6 टिप्पणियाँ