Whatsapp Group Link Ko Deactivate ( Block ) Kaise Kare

How to Deactivate Whatsapp Group Link ?

Whatsapp group ka invitation link deactivate kaise kare ? Friends jaisa ki aap jante hai ki whatsapp india me sabse jyada popular messenger app hai aur almost her internet user whatsapp use karta hai.

Whatsapp ko hum normally apne friends ke sath chat krne ke liye aur group chat krne ke liye karte hai.

Kai baar baar hum apne whatsapp group me aur jyada members jodne ke liye ush group me apne dosto ko bhi admin bna dete hai, taki wo bhi apne dosto ko add kar ske. Aur ab to whatsapp me ek naya feature bhi aa gya hai jiske dwara hum apne whatsapp group ka invitation link create kar skte hai, ush invitation link par click karke koi bhi whatsapp user group admin ki permission ke bina ush group ko join kar skta hai.

Ish liye whatsapp ke ish new feature ko use karte huye hum kai baar apne whatsapp group me jyada se jyada logo ko add krne ke liye apne whatsapp group ka invitation link kisi ko bhi knhi par bhi send kar dete hai, aur uske baad humare group me bahut se anjaan log add hona start ho jate hai. Uske baad hume realise hota hai ki hume apne whatsapp group ka link ish trah se publish nhi karna chahiye tha.

How can I reset whatsapp group link, how to disable whatsapp group link, whatsapp group invite link expired 

Whatsapp Group Link Ko Deactivate ( Block ) Kaise Kare

To ab aisi situation me humne jaha jaha ush group ka link share kiya tha un sabhi jagaho se ushe wapas remove krna to possible hota nhi hai, ish liye aisi situation me sabse achha yahi rehta hai ki hum ush whatsapp group link ko revoke kar de. Ya ush group link ko deactivate kar de, taki aage se koi bhi ush link par click karke humare whatsapp group ko join na kar paye.

To whatsapp group link ko kaise deactivate karte hai ? Ya whatsapp group link revoke kaise karte hai ? Aaj ish article me hum aapko ishi ke bare me batane wale hai ish liye ager aapko bhi apne kisi whatsapp group link ko block krna hai to ish article ko last tak jarur padhe.

Whatsapp Group Link Ko Deactivate ( Block ) Kaise Kare ?


Friends whatsapp group invitation link ko block, revoke ya deactivate krne ke liye aapko niche ke steps follow krne hai.

1. Iske liye sabse pahle apne mobile me Whatsapp Application ko open kare aur ush group ko open kare jiska invitation link aap block krna chahte hai.

2. Uske baad upper 3 dots par click karke Group Info par click kare.

3. Phir Invite Via Link par click kare.

whatsapp group link

4. Uske baad ish trah se kuch options aa jayenge.


Yaha aapko Revoke Link ya Reset link par click krna hai.

5. Phir next page me aapse phir se puchha jayega ki kya aap ish group invitation ko revoke krna chahte hai ? Waha aapko phir se Revoke Link par click krna hai.

Bas uske baad aapke samne ek message show jayega ki aapke group ka purana wala invitation link revoke/deactivate kar diya gya hai, ab ush link par click karke aapke whatsapp group ko koi bhi join nhi kar skega.

Note:- Group link revoke krne se aapke group ka purana wala invitation link deactivate ho jayega aur ek new group link generate ho jayega, so ager aapko iske baad kisi ke sath apne group ka link share krna ho to aap naya wala invitation link share kar skte hai.

Ok to ish trike se aap apne whatsapp group ka invitation link block/ deactivate kar skte hai. Ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.


FAQ

Kya Ham Whatsapp Group Invitation Link Ko Change Kar Sakte Hai ?

Ji haa, whatsapp group setting me reset link ka option milta hai jis par click krne se whatsapp group ka purana link disable ho jata hai aur ek naya invitation link create ho jata hai.

Kya Ham Apne Whatsapp Group Ke Purane Link Ko Block Kar Sakte Hai ?

Ji haan, aap apne whatsapp group ki settings me jakar purane invitation link ko block kar sakte hai.

Kya Ham Bina Invitation Ke Whatsapp Group Join Kar Sakte Hai ?

Anjan whatsapp group ko join krne 2 trike hote hai, ek to ham invitation link se join kar sakte hai aur dusra ham ush group ke QR code se ushe join kar sakte hai.

Kya Whatsapp Group Invitation QR Code Ko Change Kar Sakte Hai ?

Ji haa, invitation link ko trah ham invitation QR code ko bhi change kar sakte hai.


Ye Bhi Jarur Padhe...

To friends I hope ki whatsapp group link ko deactivate kaise kare ? Ye article aapko jarur pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi hoto ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

एक टिप्पणी भेजें

2 टिप्पणियाँ

  1. mera khud ka group h or m chahta hu ki koi mere alawa group link share na kr ske iski trick btaoo

    जवाब देंहटाएं
  2. Not possible. Ager kisi ko aapke group ka link pta chal jaye to wo bilkul share kar skta hai. Iska ye hi solution hai ki aap uska link deactivate kar de.

    जवाब देंहटाएं