Jio Phone Se Other Phone Par Video Call Kaise Kare

Namskar dosto Dainik Tricks me ek baar phir se aapka bahut bahut swagat hai. Friends aaj hum aapko jio keypad phone se kisi dusre jio phone ya smart phone par video call kaise karte hai ? iske bare me btane wale hai, ish liye ish article ko last tak jarur pdhe.

Jio Phone Se Other Phone Par Video Call Kaise Kare

Friends jio phone se kisi dusre jio phone par video call krne ke bare me to bahut se log jante hai, but jio phone se ek android smartphone par video call krne ke bare me bahut hi kam log jante hai.

Ish liye ynha hum aapko jio phone to jio phone video call krne ke sath sath jio phone to android phone me video call krne ke bare me bhi btane wale hai.

Jio Phone Se Video Call Kaise Kare ?


Friends jio phone se kisi dusre jio phone ya android phone par video call krne se pahle aapko apne mobile me Jio Video Call app download krna hai. yaad rhe aap jis phone par video call krne wale hai, ush phone me bhi ye app installed hona chahiye.

Ager aapke mobile me ye app na ho to aap Jio Store me jakar ishe download kar skte hai.
Aap jis number par video call krne wale hai, wo number aapke mobile me save hone chahiye, aur sath hi wo jio ke hi number hone chahiye, tabhi aap call kar payenge.

Video call krne se pahle apne mobile me internet connection on kar le aur sath hi jis phone par aap call krne wale hai, ush me bhi internet connection on hona chahiye.

To ye kuch bate hai, jinka ager aap dhyan rkhenge to jio phone se video call krne me aapko koi problem nhi aayegi.

Jio Phone Se Video Call Kaise Kare ?


Jio phone se video call krne ke liye aapko Jio Video Call App me jana hai aur jis number par aap video call krna chahte hai, ushe select krna hai aur aap ushe video call kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap jio phone se kisi bhi dusre phone par video call kar skte hai. ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment krke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

1 टिप्पणियाँ