Android Mobile Me Bina Kisi App Ke Files Hide Kaise Kare ?

How to hide a file/ folder in android mobile:- Hum sabhi ke pass eshe kuch photos, videos ya other files hoti h jo hum apne mobile me secret rkhna chahta h aur dusro se chhipana chahte h.

Photos, videos ya other files ko chhipane ke liye normally sabhi kisi na kisi app ko use krte h. Par mobile me files hide krne ka ye safe trika nhi h, kyunki aksar esha hota h ki app me hide ki gyi files baad me kisi na kisi reason se delete ho jati h.

Android Mobile me bina kisi app ke files hide keshe kre

Par ab esha nhi hoga, kyunki aaj hum aapko ish post me btayenge ki mobile me bina kisi app ke files/ folder ko hide kaise krte hai.


Android Mobile Me Bina Kisi App Ke Files Hide Kaise Kare ?


Aapke paas files hide krne ke 2 options h.

1. Sirf Gallery se files ko hide krna

2. Files ko completely her jgah se hide krna

1. WhatsApp se aapke pass roj eshi files aati hogi jinke bare me aap nhi chahte ki wo koi bhi dekhe ya wo files gallery me dikhai de. To iske liye 1st option sahi rhega. Ish ki madad se Ab aap wo files bina kisi app ke bhi gallary se hide kar skte h. Iske liye aapko jyada kuch nhi krna, bus step follow kre.

Step 1 sabse pahle File manager ko open kre.

StepAb jis bhi folder me wo files h jinko aap gallary se hide krna chahte h, Ush folder par jaye.

StepAb ush folder ke name ko edit kar ke uske suru me (.) add kar de.

Matlab maan lijiye ki aap 'Whatsapp Images' name ke folder ko gallery se hide krna chahte h. To uske name ko edit kar ke suru me ( . ) lgaye. Jeshe '.Whatsapp Image' esh trah aapko ush folder ke name ke suru me (.) Add krna h.


Jaisa ki Aap image me dekh skte h ki kaise folder name ke aage (.) Add kiya gya h. Aur ab wo thoda dim ho gya h. Ab ush folder ki files gallery me dikhai nhi degi.

Must read

Mobile Me Folder/ File Hide Kaise Kare Bina Kisi App Ke ?


2. Ager aap kisi bhi file ko completely her jgah se hide krna chahte h to iske liye Step follow kre.

Step1st option ki trah hi sabse pahle aapko jis folder me wo files h aur jinko aap hide krna chahte h, ush folder ke name ke aage (.) Lgaye.

StepPhir wahi per ya file manager me jaha bhi aapko option ka icon dikhai de. (Jaisa aap upper image me dekh skte h, ush per click kre)

StepAb aapke pass kuch options honge.


jaisa aap image me dekh skte h. Aapko 'Hide hidden files' par click krna h. Phir wo folder aur uski sabhi files her jgah se hide ho jayegi, aur wo knhi par bhi dikhai  nhi degi.

StepUsh folder aur uski files ko phir se show krne ke liye File manager me jaye aur jaha bhi Option ka icon mile ush per click kre. Ab aapko 'Show hidden files' ka option milega bus ush per click kar de.
Ab wo files phir se file manager me dikhai dene lgegi.

Un files ko Gallery me show krwane ke liye ush folder ke naam ke suru me se (.) Remove kar de.


FAQ

Kya Hum Mobile Me Bina Kisi App Ke Files Hide Kar Sakte Hai ?

Ha kar sakte hai.

Bina Kisi App Ke Files Hide Karne Ke Liye Kya Krna Hoga ?

Aap bas ush file ko hidden folder me dal dijiye fir wo file bhi hide ho jayegi.

Mobile me Hidden Folder Kaise Create Kare ?

Aap folder ke naam ko rename karke sabse pahle . type kar de fir wo hidden folder ban jayega.

Mobile Me Kisi Folder Ko Hide Kaise Karte Hai ? 2024

Aap ush folder ka naam rename karke uske naam ke aage . type kar dijiye, fir wo file manager se hide ho jayega.

Must read 

Ager aapko bina app ke files hide krne me koi problem aaye to aap comment kar ke puchh skte h. Iske alawa ager aapko ye post kya ham phone me folder hide kar skte hai ? achhi lge to social media par apne friends ke sath share jarur kre.

Tags:- how to hide a folder in android mobile, how to create hidden folder in android phone

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ