Apne Jio Number Par 15GB Tak Free 4G Internet Kaise Paye

Get Free 15 GB 4G Internet On Your Jio Number:- Friends jio apne users ko attract krne ke liye daily naye-naye aur alag-alag offers lekar aata rehata hai, jo ki baki telecom companies se saste hote hai. Jaisa ki aap jante hai ki January 2018 ki shuruwat me hi jio ne apne sabhi plans saste karke unhi plans me ab jyada data de rha hai.

Jaise pahle 399 ke recharge par ek din ka 1GB data milta tha, ab ushi recharge me ek din ka 1.50 GB data mil rha hai. Ishi trah se jio ke baki plans me bhi pahle se jyada data mil rha hai.

In plans ke sath jio apne users ko ek extra voucher gift bhi de rha hai, jiske bare me jyadater logo ko pta nhi hai. Wo gift ye hai ki jio apne users ko new recharge krane par 5 GB se 15 GB tak ka free 4G internet data voucher ke rup me de rha hai, jise hum apne ya kisi dusre  jio number par redeem kar skte hai.

Apne Jio Number Par 15GB Tak Free 4G Internet Kaise Paye

Ye offer sabhi ke liye alag alag hai, kyunki ye fix nhi hai. Isme aapko 5GB se 15GB tak kitna bhi data mil skta hai aur aapko ek sath ek se jyada voucher bhi mil skte hai. Jinhe aap kisi bhi jio number par redeem kar sklte hai.

Ye Bhi Padhe...

Jio Free Internet Vouchers Se Relative Kuch Bate Jo Aapko Pta Honi Chahiye

1. Ye gift vouchers sabhi users ko nhi mil rahe hai, but ager aapne abhi abhi recharge karwaya hai to aapko ye voucher mil skta hai.

2. Ishe aap apne ya other kisi bhi number par redeem kar skte hai.

3. Iski validity aapke current recharge ki validity jitni hi hogi.

Ish voucher ko redeem karne ke liye ya ye voucher aapke number par hai ya nhi ? yeh check krne ke liye steps follow kare.

Apne Jio Number Par 15GB Tak Free 4G Internet Kaise Paye

Step:- 1
Sabse pahle apne mobile me My Jio app install kare. Ager aapke mobile me ye application pahle se install hai to ek baar check kar le ki ye updated hai ya nhi. Ager updated na ho to pahle ishe update kar le.

Step:- 2
Uske baad ishe open kare aur isme apne jio number se log in kare. Uske baad aapke samne aisa page open hoga.


Ynha aapko My Vouchers me View par click karna hai.

Step:- 3
Phir aisa page open hoga.


Ynha aap dekh skte hai ki aapke number par ye free gift voucher hai ya nhi, ish voucher ko redeem karne ke liye Redeem par click kare.

Step:- 4

Uske baad aisa page open ho jayega.


Aap kis number par ye voucher redeem karna chahte hai ? ynha wo select kare.

1 Apne number par krne ke liye ishe select kare.

2 Kisi dusre number par krne ke liye ishe select karke wo number dale.

3 Uske baad Confirm par click kar de.

Bas inta karte hi wo free gift voucher ush number par redeem ho jayega, jise aap day ka 1GB internet khatam hone ke baad use kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...
To ish trike se aap jio ke ish free gift voucher ke dwara 15GB tak free 4G internet pa skte hai. To friends ummid karta hun ki ye jankari aapke liye helpful rhi hogi. Ager aapko ye post achhi lge ho to ishe apne dosto ke sath bhi share kare. 

एक टिप्पणी भेजें

8 टिप्पणियाँ

  1. hello bro mujhe adsense ke ads ko post ke bich me lagana hai jaisa ki aapke post me hai

    जवाब देंहटाएं
  2. Ha bilkul lga skte hai.
    Post likhte samay HTML Section par click karke jnha ads dikhane hai waha code paste kar dijiye, but sab post me na kare aapki jo top pots hai unhi me lgaye, kyunki baad me jab blog wordpress par transfer krenge to inhe wapas remove krna hoga.

    Iske alawa aap auto ads code ko theme html code me head tag ke niche bhi add kar skte hai

    जवाब देंहटाएं