Facebook Account Se Mobile Number Kaise Hide Kare

How to hide mobile number from Facebook account:- Friends facebook ek bahut hi popular social website hai jis par lagbhag sabhi internet users ka account hota hai. Ish liye ish par hum kisi bhi internet user ki basic information bahut si aasani se pta kar skte hai aur ush se contact bhi kar skte hai.

But kuch log ish baat ka galat fayda uthate hai aur facebook se kisi bhi person ke data ya mobile number dekh kar ushe call karke preshan karna shuru kar dete hai, jo ki mostly ladkiyo ( girls ) ke sath hota hai.


Ish liye aisi preshaniyo se bachne ke liye jaruri hai ki hum facebook par apne private data jaise mobile number ko chhipa kar rakhe ya hide karke rakhe. Taki koi bhi person facebook par humare number dekh kar hume call na kar paye.

Facebook Account Se Mobile Number Kaise Hide Kare

Facebook se ek baar apne number hide karne ke baad aapke alawa koi bhi person aapke mobile number nhi dekh payega.

But bahut se logo yehi nhi pta hota hai ki facebook se apne number kaise delete ya hide karte hai.

Ish liye aaj ish article me hum ishi topic par baat krenge ki FB par apne mobile number ko kaise hide karte hai ? To chliye abhi time waste na karte huye hum iske bare me baat karte hai.

Friends Ager Aap Ishi Jankari Ko Video Me Dekhna Chahte Hai To Yaha Click Kare

Ye Bhi Padhe...

1. Iske liye sabse pahle facebook par apni profile par jaye.

2. Uske baad profile me ‘Edit Profile’ par click kare.

3. Phir agle page me sabse niche jaye waha aapko 'Edit your about info' ka option milega ush par click kare. 

4. Uske baad about me aapki puri detail aa jayegi, hume mobile number ko hide karna hai ish liye ‘Contact Info’ me apne mobile number ke samne wale pencil icon par click kar de.


5. Phir aisa page open ho jayega.


6. Yaha par phir se mobile number ke samne wale icon par click kare aur usme ‘Only Me’ select kar de.

7. Phir sabse niche jaye aur save button par click karke ushe save kar de.

Bas itna karte hi aapke contact number ya mobile number ki privacy change ho jayegi aur wo facebook se hide ho jayenge. Uske baad facebook par aapke alawa koi bhi aapke phone number nhi dekh payega.

FAQ

Facebook Profile Me Mobile Number Ki Privacy Only Me Kaise Kare ?

Aap apni profile par mojud edit profile option par click kare apne mobile number ki privacy Only Me kar sakte hai.

Facebook Se Apne Mobile Number Kaise Htaye ?

Ager aap apni facebook profile se apne number htana chahte hai to aap apni profile par Edit Profile option ki madad se apne number facebook se hata sakte hai.

Humare Mobile Number Facebook Par Dikhai Nahi Dene Chahiye Iske Liye Kya Kare ?

Iske liye aapko apne mobile ki privacy ko Only Me select karna hoga, jiska pura process ish article me btaya gya hai.

Apni Fb Profile Se Mobile Number Hide Krne Ke Liye Kya Kare ?

Aap apne mobile number ki privacy Only Me select kar dijiye.

Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap apne FB account se mobile number ko hide ya delete kar skte hai. Ager aapko ish process me koi problem aaye ya aapka koi other sawal ho to aap comment karke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

2 टिप्पणियाँ