Email ID Aur Mobile Number Par Facebook Notifications Ko Aane Se Kaise Roke

Email ID Aur Mobile Number Par Facebook Notifications Ko Aane Se Kaise Roke:- Friends ager aap apne email account ya mobile number par aane wale facebook notification se preshan hai to ye post aapke liye bahut hi helpful rehne wali hai. Kyunki isme me main aapko btane wala hun ki apni email id ya mobile number par facebook notifications ko aane se kaise rokte hai ya kaise block karte hai.

Email ID Aur Mobile Number Par Facebook Notifications Ko Aane Se Kaise Roke

Friends jab hum facebook par koi new account bnate hai tab hume usme apna mobile number ya email id dalni padti hai, kyunki ush mobile number ya email id ke dwara hi facebook hume ya humare account ko verify karta hai.


Iske alawa account bnane ke baad jab humari id se related koi information hoti hai ya password bhul jane par jab hume humara account recover karna hota hai tab facebook humare ushi number ya email par mail send karta hai.


Ish liye facebook par id bnane ke liye hume usme apne mobile number ya email id dalni padti hai. Uske bina hum facebook par account nhi bna skte hai.

Ab account bnane ke baad sabse badi problem ye hoti hai ki humne jis mobile number ya email id se wo account bnaya hota hai, ush par facebook ki traf se bahut sare notifications aana start ho jate hai, jinse sabhi preshan rehte hai.


Ye notifications daily humare mobile number ya email id par aane lag jate hai. Niche kuch activities hai jike karan ye notifications hume prapat hote hai.

1. Jab facebook par humara koi dost hume message karta hai.

2. Kisi post me tag hone par aur un par likes aur comments aane par.

3. Humari khud ki posts par like aur comment aane par.

4. Kisi facebook friend ka birthday hone par.

5. Group ya Liked Pages related

6. Friends dwara games ke liye invite krne par.

Iske alawa bhi aise bahut se notifications humare mobile number ya email id par aate hai, jin me hume koi intrest nhi hota hai, aur hume faltu me disturb karte hai.

To aise me aapko unko apne phone number ya email address par aane se rok dena chahiye. Bahut se logo ko iske bare me pata nhi hota hai, ish liye wo inhe nhi rok pate hai. Ager aapko bhi inko block ya band karne ke bare me nhi pta hai to ish post me btaye gye trike se aap bahut hi aasani se unko block kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

Main aapko 2 trike btaunga jinse aap un notifications ko rok skte hai. Sabse pahle me aapko android phone me unko rokne ke bare me btaunga. Uske baad ek pc yani ki computer/laptop me un faltu aur unwanted notifications ko block krne ke btaunga. To sabse pahle me aapko android mobile me unko block krne ke bare me bta deta hun.

Email ID Aur Mobile Number Par Facebook Notifications Ko Aane Se Kaise Roke


1. Iske liye sabse pahle aapko apne mobile me facebook application me jana hai ya ager aap phone ke kisi browser me facebook use karte hai to aap usme ishe open kar le.

2. Facebook open karne ke baad usme log in kare.

3. log in karne ke baad aapko iski Settings/Account Settings me jana hai. Uske baad aapke samne aisa page open ho jayega.

facebook settings

4. Ynha par aapko ‘Notifications’ par click karna hai. Uske baad aisa page open hoga.

facebook notification  block

5. Ynha par aapko select karna hai ki aap in notifications ko knha se block karna chahte hai. Ager aap apne email account par inko aane se rokna chahte hai to ‘Email address’ par click kare, aur ager aap apne mobile number par inko aane se rokne chahte hai ‘Text message’ par click kare.

Uske baad (Email par click karne ke baad) aisa page open ho jayega.


6. Ynha par aapko ‘Only notifications about your account, security and privacy’ ko select karke Save karna hai. Uske baad aapke email account par iske notifications nhi aayenge.

7. Ager aap mobile number par inko aane se rokna chahte hai to aapko Account Settings me ‘Text message’ par click karna hai. Uske baad aisa page open ho jayega.


8. Ynha par aapko ‘Notifications’ ke samne edit par click karna hai. uske baad aisa page open ho jayega.


Ynha par aapko in sabhi check boxs se right mark ko remove karke save kar dena hai.

Itna karte hi aapke mobile number par aage se ish type ke notifications nhi aayege. To ish trah se aap apne android phone se inhe block kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

Abhi main aapko btata hun ki hum apne pc se in notifications ko apni email id par aane se kaise roke skte hai.

To iske liye sabse pahle aapko facebook site par jakar usme apne account ko log in karna hai aur uske baad iski settings me jana hai.

Phir aapke samne aisa page open ho jayega.


Ynha par aapko ‘Notifications' par click karna hai. uske baad aapke samne aisa page open ho jayega.


Ynha se aage same wahi proccess hai jo main pahle hi bta chuka hun. Ynha se aap un notifications ko apne hisab se control kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aapni Email ID Aur Mobile Number Par Facebook Notifications Ko Aane Se Kaise Rok Skte Hai Ager aapko isme koi problem aaye to aap comment karke ke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

3 टिप्पणियाँ