Youtube Par Message Send Kaise Kare

Friends aaj kal india me youtube ka istemaal kuch jyada hi hone lag gya hai. Kyunki jab se jio market me aaya hai, tab se internet packs kuch jyada hi saste ho gye hai. Ish liye jab bhi humare pass free time hota hai to hum youtube videos ko dekh kar hi time pass karte hai.

And waise bhi aaj kal youtube par daily itne videos upload hone lag gye hai ki hume ish par sabhi categories ke videos mil jate hai, jaise Tech, Education, Entertainment, Health, Fitness etc. Ish liye jab bhi hume inse related koi information chahiye hoti hai to hume youtube par ush topic se related hajaro videos mil jate hai.

Ye Bhi Padhe...

Ab ye to hum sabhi jante hai ki youtube ek aisi website ya application hai, jis par hum her parkar ke videos dekh skte hai. But kya aapko pta hai ki hum youtube par message bhi send kar skte hai.

Ji ha aapne sahi suna, hum facebook, whatsapp aur baki social sites ki trah youtube par bhi apne friends ya kisi bhi channel ke owner ko message send kar skte hai.

Youtube Par Message Send Kaise Kare

But youtube ke ish feature ke bare me bahut hi kam log jante hai. Ish liye bahut hi kam log youtube ke ish feature ko use karte hai.

But ager aap youtube ke ish feature ko use karna chahte hai, aur youtube par kisi bhi channel ke owner ko personally message send karna chahte hai, to ye post aapke liye bahut hi helpful hone wali hai. Kyunki aaj ish post me hum aapko ishi ke bare me batane wale hai.

Ye Bhi Padhe...

To chliye abhi jyada time waste na karte huye hum aapko iske bare me bta dete hai. To dekhiye friends youtube par kisi bhi person ya kisi bhi youtube channel ko personally message send karne se pahle aapko ush person se youtube par friendship karni hogi.

Youtube par kisi bhi person ya channel se friendship karne ke liye sabse pahle aapko ush person ko youtube par friend request send karni hogi, jab wo samne wala person aapki friend request accept kar lega, to uske baad aap ush person ya ush channel ko youtube par message send kar skte hai.

Youtube par kisi bhi channel ya kisi bhi person ko friend request kaise send karte hai ? Iske bare me janne ke liye niche wale steps follow kare.


Youtube Par Message Send Kaise Kare


1. Iske liye sabse pahle aapko apne android mobile me youtube application ko update karna hoga. Youtube application ko abhi update karne ke liye Yaha Click Kare.

2. Uske baad ager aapne youtube application me sign nhi kar rkha ho to pahle sign kar le. Uske baad youtube application ka home page ish trah se open hi jayega.


Yaha aapko Inbox button par click karna hai.

3. Uske baad aisa page open ho jayega.


Yaha aapko Add Friends button par click karna hai, uske baad next page me phir se Add Friends button par click kar de.

4. Uske baad aisa page open ho jayega.


Yaha aapko aapki profile ka link mil jayega, aap ush link par click karke ushe copy kar le aur ush person ko send kar de, jis se aap friendship karna chahte hai. Ager aap chahe to Send Invitation par click karke direct yahi se ush person ko Text Message, Whatsapp, Facebook ya other kisi trike se aapki profile ka link send kar skte hai.

To jab samne wala person ush link par click karke aapki friend request ko accept kar lega, to uske baad aap youtube application me jakar phir se Inbox button par click karke ush person ko message send kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap youtube par kisi bhi channel ko message send kar skte hai. Ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

To dosto ummid karta hun ki ye post aapko jarur pasand aayi hogi ager aapko ye jankari achhi lgi to ishe apne dosto ke sath bhi share kare.

एक टिप्पणी भेजें

5 टिप्पणियाँ

  1. Check This..

    https://www.dainiktricks.com/2018/07/twitter-account-kaise-bnaye.html

    जवाब देंहटाएं
  2. Sir,you tube public ke liye message kaise bheje please jaldi batayen ho sake to link share kar dein 9415289530 animesh1961@gmail.com par

    जवाब देंहटाएं
  3. Ye sirf community tab ke dwara possible hai, jo youtube apne sabhi users ko nhi deta hai.

    Aap youtube par apne account ko log in karke my channel me jakar check kar skte hai ki aapke pass ye feature hai ya nhi.

    Ager ho to aap uski madad se youtube par publicly koi bhi message share kar skte hai.

    जवाब देंहटाएं