Speed Post Ki Live Location Kaise Check Kare

How to Track Live Location of Speed Post ?

Speed post ki location kaise check kare ? friends speed post kya hai aur ye kis kaam aati hai ? ye to aap jarur jante honge, ager aap nhi jante hai to me short me btana chahunga ki speed post Indian post department ki hi ek service hai jiske dwara hum kam se kam samay me koi bhi samaan send ya receive kar skte hai.
Ager aap speed post kya hai ? aur speed kaise bheje ? iske bare me detail se janna chahte hai to ye article pad skte hai.
How can I track my speed post location, Track speed post live location, Speed post live location app

Speed post ki location kaise check kare

Aapne bhi kabhi na kabhi speed se kuch samaan jarur send ya receive kiya hoga, tabhi aap ye janna chahte hai ki speed post ki location kaise track karte hai ? kyunki jab tak hume humara wo samaan mil nhi jata tab tak hum humesha ye janne ki kosis karte hai ki abhi wo speed post ya humara samaan knha hai ?

To ishi liye aaj ish post me hum aapko ishi ke bare me batane wale hai ki apne mobile se speed post ki live location kaise check karte hai ? Ish liye ager aapko iske bare me janna hai to ish article ko last tak jarur padhe.

Ye bhi Padhe...

To friends jaisa ki aap jante hai ki jab hum koi speed post karte hai ya speed post se kuch mangwate hai to hume ek Speed Post Number aur ek delivery time diya jata hai ki aapka samaan itne samay tak aapko mil jayega. Iske sath hi Bhartiya Dhak Vibhag hume apni speed post ko track krne ki ya uski live location check krne ki bhi service deta hai.

Indian Post Department ki ish service ki madad se hum apne mobile se hi speed post ki live location check kar skte hai aur pta lga skte hai ki ish samay humari post knha hai aur wo humare pass kab tak aayegi.

Waise to speed post ki live location ka pta lgana bahut hi aasan hai but jyadater logo ko iske bare me pta nhi hota hai. Ish liye aaj ish article me hum aapko ishi ke bare me batane wale hai ki apne android mobile se speed post ki live location kaise check karte hai ?

Speed Post Ki Live Location Kaise Check Kare ?

Iske liye aapke pass 2 option hai. Aap Indian post department ki site par jakar ya iski android application ko mobile me download karke apni speed post ki location ke bare me pta lga skte hai.
Yaha hum aapko dono trike batane wale hai, waise to dono hi methods same hai, but aapko jo achha lge aap wo trika kaam me le skte hai.

Pahle hum aapko India Post ki application Postinfo se speed post ki location kaise track karte hai ? iske bare me bta dete hai uske baad iski site se kaise pta lgate hai iske bare me bhi bta denge.

Postinfo Application Se Speed Post Ki Location Kaise Check Kare ?


Iske liye sabse pahle aapko play store se Postinfo App ko download krna hai.

Posting app abhi download krne ke liye ynha click kare.

Uske baad jab aap ishe open krenge to aisa page open hoga.

postinfo app

Jaisa ki aap dekh skte hai ish aap se aap speed post ki location to check kar hi skte hai sath hi sath isme aur bhi bahut se services aapko mil jati hai jaise.

1. Ager aapko India Post se related koi complaint ho to aap uski complaint kar skte hai.

2. Apne nearest post offices search kar skte hai.

3. Aap post ki size aur weight ke hisab se ush me kitne rupay ki ticket lgani hogi ? wo check kar skte hai.

4. International Speed Post ki rate ya charge check kar skte hai.

5. Postal India ka Interest Rate check kar skte hai.

To ye ish application ke kuch extra features hai jinka fayda bhi hum le skte hai, but yaha hum speed post ko track krne ke bare me baat kar rhe hai. Ish liye iske liye aapko 'Tracking' option par click karna hoga. Uske baad aisa page open hoga.

speed post track kare

1. Ynha aapko Consignment number yani Speed Post Number dalna hai.

2. Aur 2nd box me Expression ko evaluate kare, yani ki aapko jo bhi number aapas me +, - krne ke liye diya jaye, uska answer 2nd box me dal de.

3. At last Search button par click kar de.

Uske baad next page me aapki speed post ki puri detail aapke samne aa jayegi ki aapka samaan abhi knha tak pahucha hai aur wo aapko kab tak receive hoga.

Iske alawa ager aap India Post ki official website par jakar apni speed post ki location check krna chahe to aap wo bhi kar skte hai.

India Post Ki Website Se Speed Post Ki Live Location Kaise Check Kare ?


1. Iske liye aapko sabse pahle India Post ki official site Indiapost.gov.in par jana hai.

2. Uske baad ager aap ish site ko mobile me open krenge aapke samne aisa page open ho jayega.

india post all services

Yaha aapko 'Track Consignment' par click karna hai.

3. Uske baad same wahi page open ho jayega jaisa Postinfo App me hota hai, wnha aapko simply Apne Consignment Number/Speed Post Number aur Captcha Solve krna hai aur Saerch button par click kar dena hai.

Uske baad ush speed post ki puri detail ya uski live location aapke samne aa jayegi ki wo abhi knha hai aur aap tak kab tak pahuchegi.

Ye bhi Padhe...

To ish trike se aap apni speed post ki live location trace kar skte hai aur pta lga skte hai ki abhi wo knha hai ? I hope ki speed post ki location kaise check kare ? ye article aapko jarur pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ