Android Mobile Se Mail Kaise Send Kare

How to send mail from android mobile in hindi:- Hello Friends aaj ish post me hum aapko btane wale hai ki apne android mobile se mail send kaise karte hai.

So ager aapko mail send krna nhi aata hai to ish post ko last tak jarur padhe. Kyunki ish article ko padhne ke baad aap bahut hi aasani se apne mobile se kisi ko bhi mail send kar payenge.

Android Mobile Se Mail Kaise Send Kare

To dekhiye friends koi bhi mail send karne ke liye aapko ek email id ki jarurat pdegi. Ager aapke pass koi email id nhi hai. To sabse pahle aapko ek new email account bnana hoga. Ek new email account kaise bnate hai ?

Ish par humne ek post bhi likhi hai, aap chahe to niche click karke ushe padh skte hai. Iske alawa kuch log Gmail aur Email account me bhi confused hote hai, aur unhe inke bich ka anter ( deference ) pta nhi hota hai, to humne ish par bhi ek post likhi hai, aap chahe to wo bhi padh skte hai.


To abhi hum maan lete hai ki aapke pass ek gmail account hai aur aap apne mobile se hi koi mail send karna chahte hai, to iske liye humne kuch steps btaye hai inhe follow kare.

Android Mobile Se Mail Kaise Send Kare


1. Sabse pahle apne mobile me Gmail application me jaye aur ager aapne usme sign nhi kar rkha hai to apni gmail id aur password dalkar sign kar le.

2. Uske baad aisa page open hoga.


Ynha aapko Pencil icon par click karna hai.

Ye Bhi Padhe...

3. Uske baad aisa page open ho jayega.


1. Ynha sabse upper aapki khud ki gmail id hogi, ishe kuch nhi karna hai.

2. Ynha aapko wo email id dalni hai jis par aap mail send karna chahte hai.

3. Ynha aapko mail ka subject dalna hai, aap chahe to ishe empty bhi rakh skte hai.

4. Ynha aapko apna main metter ya jo message aap mail me send karna chahte hai wo type karna hai.

5. Ager aap mail me koi photo, video, audio, document ya koi other media file send karna chahe to ynha click karke aap apne mobile me se wo file select kar skte hai.

6. At last aapko Send icon par click kar dena hai.

Uske baad aapka mail send ho jayega. But aap ek baar check jarur kre ki aapka mail send hua ya nhi.

Kyunki kai baar hum jo mail send karte hai, wo failed ho jata hai aur Outbox folder me chla jata hai. Ish liye aap Outbox folder me jakar ek baar check kar le ki knhi wo mail failed to nhi hua hai.

Ager wo mail successfully send hua to aapko outbox me kuch nhi milega. Kyunki jo mail successfully send ho jate hai wo Sent folder me chle jate hai.

Aap ye sab Gmail application me Menu button ( 3 lines ) par click karke check kar skte hai. Menu par click karne ke baad aapko sabhi folder mil jayenge.

Iske alawa ager aap pta lgana chahe ki samne wale ne aapka mail pdha ya nhi to aap aisa bhi kar skte hai. Iske bare me janne ke liye aapko ye post padhni pdegi.


FAQ

Kya Hum Mobile Se Mail Send Bhej Sakte Hai ?

Ha bhej sakte hai.

Mobile Se Mail Bhejne Ke Liye Kis Chij Ki Jarurt Padti Hai ?

Mobile se mail bhejne ke liye aapke pass smartphone, internet connection aur ek email id honi jaruri hoti hai.

Email Bhejen Ka Naya Tarika Kya Hai ? 2024

> Sabse pahle apni email app open kare.

> Create new email par click kare.

> To me samne wale ki email id dale.

> Subject me mail ka subject dale.

> Compose Mail me apna mail type kare aur agar koi file attach karni ho to wo kare aur send mail par click kar de, aapka mail send ho jayega.


To ish trike aap apne android mobile se koi bhi mail ya email send kar skte hai. To dosto ummid karta hun ki ye jankari mobile se mail send kaise kare in hindi ? aapko jarur pasand aayi hogi, ager aapko ye post achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi share kare. 

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ