Mobile Se Bank Balance Kaise Check Kare

How to Check Bank Balance Online by Mobile ? 

Apne mobile se kisi bhi bank account balance kaise check kare ? Friends aaj ki post aap sabhi ke liye bahut hi important aur kaam ki hone wali hai ish liye ishe last jarur padhe, kyunki aaj ish article me maine aapko batane wala hu ki apne mobile se kisi bhi bank account ka balance kaise check karte hai ?

Main mobile par bank balance kaise check kar skta hu, all bank balance check online, mobile number se bank balance check kare

Mobile se apne bank account ka balance kaise check kare without internet

To jaisa ki aap jante hai ki jab kabhi bhi hum apne bank account ka balance check krne ki jrurat pdti hai to iske liye hume ya to apni bank branch me jana pdta hai ya pass ke hi kisi ATM me jana pdta hai.

Iske alawa jo log net banking ya other kisi trike se online money transactions karte rehte hai wo ghar baithe online hi kisi na kisi trike se apne bank account ka balance check kar lete hai. But jin logo ko internet ka jyada knowledge nhi hota hai wo aisa nhi kar pate hai.

To ager aap bhi unhi me se ek hai aur ager aapko bhi apne bank account ka balance pta krne ke liye bank ya ATM me jana pdta hai to ab aapko apne bank account ki balance enquiry ke liye ya mini statement nikalne ke liye apni bank ya ATM me jane ki jarurat nhi pdegi. Kyunki yaha btaye gye trike se aap ghar baithe all bank balance check online kar skte hai aur apne mobile se hi apne ya apne kisi bhi family member ke bank ke account ka balance check kar kar skte hai.


Aapka account chahe india ki kisi bhi bank me ho jaise SBI, Panjab National Bank, ICICI, AXIS Bank, etc. Ish se koi fark nhi pdega. Aap sirf kuch hi seconds me bina internet ke sirf apne featured phone ya keypad phone se bhi apne bank account ka balance check kar skte hai, aur apne bank account ki mini statement nikal kar apne pichle bank transactions ki puri jankari hasil kar skte hai.

Mobile Se Bank Balance Kaise Check Kare

Friends yaha bataye gye trike se aap na sirf apna balki kisi ke bhi bank account ka balance check kar skte hai. Iske liye aapko jyada kuch krne ki jarurat nhi pdegi. Balki aap sirf ek miss call karke apne bank account ki puri jankari hasil kar skte ho.

Iske liye bas aapko ush mobile number ki jarurat pdegi, jo aapki bank me aapke account ke sath registered hai. Kyunki jab aap apne bank account se registered mobile number se miss call krenge tabhi aapko apne bank account ke balance ki jankari milegi.

Same ishi trike se ager aapko apne kisi family member ya other kisi ke bank account ka balance pta krna hai to iske liye aapko uske bank account se registered mobile number se miss call krna hoga.

To I hope abhi aap samjh gye honge ki aapko kis mobile number se miss call krna hai. Ish liye abhi maine aapko bta deta hu ki apne bank account ka balance check krne ke liye aapko kisi number par miss call krna hoga.

To dekhiye friends iske liye sabhi banks ke alag alag mobile number hai. Ish liye yaha me aapko sabhi banks ke mobile number nhi de paunga. But yaha me aapko ek aise app ke bare me bta rha hu jisme aapko india ke almost sabhi banks ke miss call dwara balance enquiry krne wale mobile numbers mil jayege. Ish liye aap ish app ko apne mobile me install karke apni bank ke mobile number dekh kar ush par miss call kar de, uske baad aapko message dwara aapke account ki puri jankari send kar di jayegi.

Friends ish app ka naam Bank Balance Enquiry hai. Ish app ko abhi download krne ke liye Yaha Click kare.

Jab aap ish app ko download krne ke baad open krenge to aapke samne kuch options aa jayenge, wnha aapko Miss Call Balance Check par click krna hai.

Uske baad banks ki ek list aa jayegi. Wanha aapka account jis bank me ho ush par click kare.

Uske baad aisa page open ho jayega.

Sbi bank balance check, mini statement and customer care mobile number

Yaha aap dekh payenge ki aapke samne bank balance check krne ke liye ya mini statement nikalne ke liye aur customer care se baat krne ke liye alag alag numbers honge, hume bank balance check krna hai ish liye aapko Bank Balance ya Mini Statement wale number par miss call krna hai.

Yaad rhe aapko ush bank me aapke account ke sath registered mobile number se hi miss call krna hai.

Miss call krne ke 5 se 10 minutes ke ander ander ( kai baar ish jyada time bhi lag jata hai ) aapko message ke dwara aapke pure bank account ki puri detail send kar di jayegi.

Note:- Friends ho skta hai ki kai baar inka server busy hone ke karan aapka call na lge, ish liye ager aapka call na lge to aap thodi der ke baad phir se try kare aapka call jarur lgega.

Ok to ish trike se aap sirf ek miss call karke apne bank account ka balance kaise check kar skte hai. Ager aapko ish trike bank balance pta krne me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.


FAQ

Mobile Se Bank Balance Check Karne Ke Liye Konse Number Par Call Kare ? 

Call karke balance check krne ke mobile number har ek bank ke liye alag alag hai. Ish article me ek app ke bare me btaya gya hai jis par aapko sabhi bank ke number mil jayenge.

Call Karke Bank Balance Check Karne Ke Mobile Number Konse Hai ?

Aap play store se Bank Balance Enquiry app download kare usme aapko sabhi bank ke number mil jayenge.


Ye Bhi Padhe...

To friends I hope ki apne mobile se kisi bhi bank account ka balance kaise check kare ? Ye article aapko jarur pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare. 

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ