How to Deactivate Whatsapp Group Link ?
Whatsapp group ka invitation link deactivate kaise kare ? Friends jaisa ki aap jante hai ki whatsapp india me sabse jyada popular messenger app hai aur almost her internet user whatsapp use karta hai.
Whatsapp ko hum normally apne friends ke sath chat krne ke liye aur group chat krne ke liye karte hai.
Kai baar baar hum apne whatsapp group me aur jyada members jodne ke liye ush group me apne dosto ko bhi admin bna dete hai, taki wo bhi apne dosto ko add kar ske. Aur ab to whatsapp me ek naya feature bhi aa gya hai jiske dwara hum apne whatsapp group ka invitation link create kar skte hai, ush invitation link par click karke koi bhi whatsapp user group admin ki permission ke bina ush group ko join kar skta hai.
Ish liye whatsapp ke ish new feature ko use karte huye hum kai baar apne whatsapp group me jyada se jyada logo ko add krne ke liye apne whatsapp group ka invitation link kisi ko bhi knhi par bhi send kar dete hai, aur uske baad humare group me bahut se anjaan log add hona start ho jate hai. Uske baad hume realize hota hai ki hume apne whatsapp group ka link ish trah se publish nhi karna chahiye tha.
To whatsapp group link ko kaise deactivate karte hai ? Ya whatsapp group link revoke kaise karte hai ? Aaj ish article me hum aapko ishi ke bare me btane wale hai ish liye ager aapko bhi apne kisi whatsapp group link ko block krna hai to ish article ko last tak jarur padhe.
Whatsapp Group Link Ko Deactivate ( Block ) Kaise Kare ?
Friends whatsapp group invitation link ko block, revoke ya deactivate krne ke liye aapko niche ke steps follow krne hai.
1. Iske liye sabse pahle apne mobile me Whatsapp Application ko open kare aur ush group ko open kare jiska invitation link aap block krna chahte hai.
2. Uske baad upper 3 dots par click karke Group Info par click kare.
3. Phir Invite Via Link par click kare.
5. Phir next page me aapse phir se puchha jayega ki kya aap ish group invitation ko revoke krna chahte hai ? Wnha aapko phir se Revoke Link par click krna hai.
Bas uske baad aapke samne ek message show jayega ki aapke group ka purana wala invitation link revoke/deactivate kar diya gya hai, ab ush link par click karke aapke whatsapp group ko koi bhi join nhi kar skega.
Note:- Group link revoke krne se aapke group ka purana wala invitation link deactivate ho jayega aur ek new group link generate ho jayega, so ager aapko iske baad kisi ke sath apne group ka link share krna ho to aap naya wala invitation link share kar skte hai.
Ok to ish trike se aap apne whatsapp group ka invitation link block/deactivate kar skte hai. Ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.
Ye Bhi Jarur Padhe...
To friends I hope ki whatsapp group link ko deactivate kaise kare ? Ye article aapko jarur pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi hoto ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.
2 टिप्पणियाँ
mera khud ka group h or m chahta hu ki koi mere alawa group link share na kr ske iski trick btaoo
जवाब देंहटाएंNot possible. Ager kisi ko aapke group ka link pta chal jaye to wo bilkul share kar skta hai. Iska ye hi solution hai ki aap uska link deactivate kar de.
जवाब देंहटाएं