Apne Nearest ATM aur Bank Ka Kaise Pta Lagye

How To Find Nearest ATM and Bank ?

Dosto ye article her ush ush insaan ke liye important hai jo ki ATM use karta hai ya ATM se paise withdrawal karwata hai.

Kyunki aaj ish article me hum aapko apne nearest ATMs ka pta lgane ka trika aur apni nearest Bank ka kaise pta lgate hai ? Iske bare me batane wale hai. Ish liye ish article ko last tak jarur padhe, Kyunki ye jankari aapke kabhi bhi kaam aa skti hai.

Apne pass ke atm ko kaise search kare

Jaise ki example ke liye maan lijiye ki aap kisi aisi city me jate ho jiske bare me aap jyada kuch nhi jante hai aur aapko wnha par paiso ki jarurat pad jati hai.

To aisi situation me ager aapke pass ATM Card hai to aap turant mabile se apne najdiki ya nearest atm ka pta lga kar ush se paise niklwa skte hai.

Ish se aapko jyada ghumna nhi pdega, time waste nhi hoga , aur aapko kisi se atm ke bare me puchhne ki bhi jarurat nhi pdegi.

Ish liye hum sabhi ko iske bare me pta hona chahiye ki apne najdiki atm ka pta kaise lgate hai ?

To chliye abhi jyada time waste na karte huye hum iske bare me jan lete hai. Iske bare me janne ke liye niche ke steps follow kare.


Mobile Se Apne Pass Ke Sabhi ATMs Ko Kaise Search Kare ?


1. Iske liye sabse pahle apne mobile ka internet connection On kare.

2. Uske baad mobile me Google Map ko open kare.

Ager aapke mobile me google map nhi hai to abhi yaha click karke download kar skte hai.

2. Google Map open krne ke baad aapse Location ya GPS On krne ke liye kaha jayega, aapko ushe on krna hai. ( Ager location on krne ke liye na kaha jaye, to wo aapke mobile me pahle se on hogi. ) But phir aap ek baar check jarur kar le.

3. Uske baad aapko google map me ATM likh kar search krna hai.

4. Search krne ke thodi der baad aapke samne ish se aapke nearest sabhi ATMs ki location aa jayegi.

Pass ke sabhi atm ki location check kare

Map me aap apne nearest sabhi ATMs ko dekh payenge. Ager aapko inke full addresses chahiye to aap Show List par click karke unke bare me bhi jan skte hai.

Mobile Se Nearest Bank Ki Location Kaise Dekhe ?


Thik ishi trike se aap google map me Bank word likh kar search kare. Uske baad aapke samne aapki nearest sabhi banks ki list aa jayegi, jaha se aap unki location dekh kar unka address bhi nikal skte hai.

Ok to ish trike se aap apne mobile se apne nearest ATMs ko search kar skte hai. To friends I hope ki ye jankari aapko jarur pasand aayi hogi. Ager aapko ye jankari helpful lgi ho to ishe friends ke sath bhi jarur share kare.

Ye Bhi Padhe...

Tags:- Find Nearest ATM, Najdiki ATM search kare, Apne pass ke atm ka kaise pta lagaye, nearest bank search kare, ATM dhundhne ka trika, 

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ