Youtube Search History Ko Kaise Delete Kare

Friends youtube ek bahut hi bada social network hai jise millions log use karte hai, jinme se kuch user aap aur hum bhi hai aur jio ke aane ke baad to youtube ka istemal kuch jyada hi hone lga hai.

Persant time me entertainment aur desh duniya ki baki khabro ko dekhne ke liye youtube first choice hai. Kyunki isme hume wo sari jankariya video ke rup me mil jati hai, jinhe hum dekhna chahte hai.

Youtube ke ander hume jo bhi video dekhna ho ushe hum iske search box me search karke dekh skte hai. Ish liye apne favorite videos ko dekhne ke liye aapne youtube application me search box ka istemal jarur kiya hoga.

Youtube Search History Ko Kaise Delete Kare

Ager aapne aisa kiya hai to aapne jarur notice kiya hoga ki jab bhi hum search box me kuch type karne ke liye ush par click karte hai to search box ke niche humare samne keywords ki ek list aa jati hai, jisme wo keywords hote hai jo humne last bar search kiye the.

Ab un keywords me kuch words aise bhi ho skte hai jo aap wnha dikhana nhi chahte, to iske liye sabse achha option yahi hai ki aap youtube ki search history ko clear kar de. Youtube search history ko kaise clear ya delete karte hai ? ager aapko iske bare me nhi pta hai to koi baat nhi kyunki aaj ish post me main aapko iske bare me btane wala hun.

Ye Bhi Padhe...

Iske liye humne kuch steps btaye inhe follow kare. ( Post ke last me ye jankari video me bhi di gayi hai )

1 Sabse pahle apne android mobile me youtube application ko open kare.


2 Uske baad profile icon par click kare.

3 Phir ‘Settings’ par click kare.


4 Uske baad ‘History & Privacy’ par click kare.


5 Phir ‘Clear Search History’ par click kare.

6 Uske baad aapse puchh jayega ki kya aap youtube ki search history ko delete karna chahte hai ? Hume ushe delete hi karna hai, ish liye ‘OK’ par click kar de. Bas itna karte hi aapke mobile me se youtube ki search history delete ho jayegi.

Ye Bhi Padhe...

Ishi Jankari Ko Video Me Dekhne Ke Liye Ynha Click Kare

Ager aapko humari posts free me apne mail box me chahiye to abhi niche subscription box me apni email id dalkar Dainiktricks ko subscribe kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ