Mobile Ki Half Screen Khrab Hone Par Phone Ko Kaise Use Kare

Mobile Ki Half Screen Khrab Hone Par Phone Ko Kaise Use Kare ? Dosto aaj ish article me mai aapko ek bhut kmaal ki android application ke bare me btane wala hu, ish liye ish article ko last tak jarur padhe.

Friends humare pass ya humare ghar me kisi ke pass koi aisa android mobile hota hai, jiski half screen kaam nhi kar karti hai. ish liye hum ush mobile ko use nhi karte hai, ushe bachho ko khelne ke liye de dete hai ya ushe khrab samjhkar knhi par rkh dete hai.

To ager aapke pass bhi aisa koi mobile hai jiski half screen kaam nhi kar rhi hai to ynha par mai aapko ek aisi app ke bare me btane wala hu, jisko mobile me install karne ke baad aap ush mobile ko bhi achhe se use kar skte hai, jiski half screen khrab hai.

Mobile Ki Half Screen Khrab Hone Par Phone Ko Kaise Use Kare

To chliye mai aapko direct ish app ke bare me bta deta hu, ish app ke bare me btane se pahle mai aapse kehna chahunga ki ish app ko use karke khrab screen wale mobile ko kaise chlate hai ? iske liye humne ek video bhi bnaya hai, jo ki aapko ish post ke last me mil jayega, to ager aap chahe to wo video bhi dekh skte hai.


Khrab Screen Wale Mobile Ko Kaise Chlaye ?


1. Iske liye aapko sabse pahle ush khrab screen wale mobile me ‘Reachability Cursor’ naam ki ek app download krni hai.

Ish app ko abhi download krne ke liye niche Download button par click kare.

Download


2. Download krne ke baad jab app ishe open krenge to aapko iski Accessibility settings ko On krna hoga.

3. Bas iske baad ye app ush mobile me active ho jayega. Ishe use krne ke liye aapko ush mobile me niche ki traf right side se screen ko swipe krna hai.

Screen swipe karte hi screen par ek cursor aur uska ek controller aa aayega, niche image me dekhe.


Abhi maan lijiye ki uhs aapke mobile me upper ki half screen kaam nhi kar rhi hai to aap ish app ke controller ki madad se cursor ko ush area me le jakar screen par click kar skte hai.

Niche video ko dekh kar aap ish app ko kaise use krna hai ? iske bare me aur bhi achhe se samjh skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To friends I hope ki mobile ki half screen khrab hone par phone ko kaise use karte hai ? ye article aapko pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

Tag:- Repair damaged mobile's screen, ghar par mobile repair kare, mobile ki half screen kaam na kare to kya kare, repair mobile screen at home

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ