Fake/ Unknown Number Se Call Kaise Kare ?

How to Call With Fake/Unknown Number ?

Friends aaj me aapke liye ek bahut hi jabardast trick lekar aaya hu, jiski madad se ab aap kisi bhi number par fake/unknown number se call kar skte hai, friends ager aap ish post me btaye gye trike se call krte hai to aap jis person ko call kar rhe hai uske pass aapke real number nhi jayenge, balki kuch unknown number jayenge, jaise +4235, +14253, +42637 etc.

How to make a call with unknown number without any app

Ho skta hai ki aapne ish se pahle bhi kuch aisi post padhi ho jinme unknown number se call krne ke trike ke bare me btaya gya ho, but main aapko bta du ki unme se jyadatar posts  me unknown number se call krne ke liye kisi na kisi app ke bare me btaya gya hai, aur un apps me bhi call krne ke liye credits ki jarurat padti hai, aur credits hume purchase krne padte hai ya earn krne padte hai.

Ye Bhi Padhe...

But aaj ish post me main aapko ek aisa trika btaunga jiski madad se aap bina kisi app aur credits ke bhi unknown number se call kar skte hai. Ji ha dosto aapne sahi suna. Ish post me main aapko ek aisa trika btane wala hun, jiski madad se aap apne khud ke number hide karke fake number se call kar skte hai aur iske liye aapko kisi bhi app ya credits ki jarurat nhi hai.

To chliye abhi time waste na krte hai hue main aapko btata hu ki hum bina app aur credits ke unknown number se call kaise kare.

Friends internet par ek website hai, jiski madad se hum aisa kar skte hai. Ish website ki sabse achhi baat ye hai ki ish se call krne ke liye hume iske ander kisi bhi trah ka account ya registration krne ki jarurat nhi padti hai. Hum direct ish site par jakar, simply number dal kar call kar skte hai.

Ish website ko kaise use krte hai iske liye humne kuch steps btaye hai, inhe follow kre.

Fake/ Unknown Number Se Call Kaise Kare ? 


Step:-1
Sabse pahle aapko apne mobile ya pc ke kisi bhi browser me www.numlookup.com website ko open krna hai.

Step:- 2
Jab ye site puri trah se open ho jaye to aapko thoda niche jana hai, wnha par aapko kuch aisa interface milega.

Call dialer in revealname

Yaha par aapko call par click krna hai.

Step:- 3
Uske baad aapke samne aisa page open hoga.

Call dialer in revealname site

1. Yaha par click karke aapko apne country select krni hai.

2. Uske baad aapko wo number dalne hai, jin par aapko call krna hai.

3. Last me aapko Call par click krna hai.

Call par click krne ke baad ye site aapse kuch permission mangegi, aap ushe allow kar de, permission allow krte hi aapke dwara dial kiye gye number par unknown number se call chla jayega.

Call in mobile phone

To ish trike se aap bina kisi app aur credits ke bhi unknown number se call kar skte hai. Ager aapko ish trah call krne me koi problem aaye to aap comment kar ke puchh skte hai.


FAQ

Kya Hum Dusre Ke Number Se Call Kar Sakte Hai ?

Ji haa, internet par aisi bahut sari website hai jinse ham apne number hide karke kisi dusre number se call kar sakte hai.

Unknown Number Se Call Karna App/ Website Konsi Hai ?

www.numlookup.com website se ham unknown number kisi ko bhi call kar sakte hai.


एक टिप्पणी भेजें

5 टिप्पणियाँ

  1. Call par click karne par tweeter par link share karne ka option aata he or share kar dene par bhi call nhi lagta or vahi process dobara aa jata he

    जवाब देंहटाएं
  2. Aapko share krne ki jarurat hi nhi hai aap direct number lagakar call par click kar do call lag jayega

    जवाब देंहटाएं
  3. MICROPHONE ALLOW KA OPTION AATA HAI WO ALLOW NHI HORAHA KAISE HOGA

    जवाब देंहटाएं
  4. नही होगा, बस आप ऐसी किसी वेबसाइट से कुछ डाउनलोड ना करे

    जवाब देंहटाएं