How to change color of screen on android mobile:- Hello friends aaj ek baar phir se main aapke liye android moble ki aur trick lekar aaya hu, jo ki kaphi mazedar hai. Friends aaj jo trick me aapko btauga ush ki madad se aap apne android mobile ka color change kar skte hai. Bilkul waise jaise hum apne TV ka color change karte hai.
Android mobile ke ish feature ke bare me jyadater logo ko pta nhi hai, ish liye aap ish feature ko use karke ya apne mobile ka color change karke apne friends ke samne aur other logo ke samne thoda sa smart ban skte hai.
Iske alawa ager aapko apne mobile me new new experiment karna achha lgta hai to aap ish feature ko jarur use kare, kyunki ye ek bahut achha effect hai, jiski madad se hum apne phone ko Monochromacy (black & white) Deuteranomaly (red & green) Protanomaly (red & green) Tritanomaly (blue & yellow) colour me change kar skte hai.
To chliye abhi hum jyada time waste na karte huye ish feature ya effect ko kaise use karna hai iske bare me baat kar lete hai.
Android Mobile Ka Colour Kaise Change Kare
To iske liye sabse pahle to aapko apne phone ki setting me jana hai, uske baad aapko settings me sabse niche jana hai, wnha par aapko developer option mil jayega aapko ush par click karna hai.
Ye Bhi Padhe...
Uske baad aapke samne ek message show hoga ki aapke phone me developer option enable ho gya hai. Ish liye uske baad aap back aa kar check kar le ki wo option aaya ya nhi. Ager na aaya to aapko wahi process phir se krni hai.
Jab developer option aapke mobile me enable ho jaye to uske baad aapko ush par click karna hai, phir aapke samne bahut sare options aa jayenge, aapko thoda niche jana hai.
Yaha se aapko wo color select karna hai jo aap apne mobile me use karna chahte hai. Example ke liye maan lijiye ki aap monochromacy select karte hai to aapka mobile black and white ho jayega. Ish trike se aap baki colors ko apne me phone me use karke usme thoda new effect daal skte hai.
Ye Bhi Padhe...
Ager aap apne phone ka color wapas pahle jaise karna chahe to aapko simulate color space ko disable kar dena hai. Ishe disable karne ke baad aapka mobile wapas apne original color me aa jayega.
FAQ Related to Mobile Screen Color Change
How To Change Color Of Screen On Android Mobile ?
Android mobile ki developer settings me ’Simulate Color Space’ naam se ek option hota hai jisse mobile screen color change hota hai.
Mobile Colour Setting Kaha Hoti Hai ?
Mobile Settings me Developer option me screen color settings hoti hai.
Android Phone Display Colour Change Kaise Kare ?
Phone ka display color kaise change karte hai ishi ke bare me yaha detail se jankari btai gayi hai.
To ish trike se aap apne android mobile ka color change kar skte hai. ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.
0 टिप्पणियाँ