Xender Se Mobile Ki Files Ko Computer/Laptop Par Kaise Share Kare

Xender Se Mobile Ki Files Ko Computer/Laptop Par Kaise Share Kare:- Dosto hum sabke mobile me kuch comman applications hoti hai jo ki her android phone me mil jati hai. Unhi me se ek application Xender hai. Xender kis kaam aata hai ye muje batne ki jarurat nhi hai kyunki sabhi jante hai ish se hum ek mobile se dusre mobile me media files jaise photos, videos, audios, documents etc ko share kar skte hai.

Android mobile ke aane se pahle sabhi mobile users media files ko transfer karne ke liye bluetooth ka istemal karte the aur non android user abhi bhi karte hai. But jinke pass android phone hai wo file transfer karne ke liye Xender ya Share It jaise file sharing apps ko hi use karte hai.

Kyunki inse hum wifi aur hotspot ki madad se badi size ki files ko bhi kuch hi seconds ya minutes me ek mobile se dusre mobile me share kar skte hai.

Xender Se Mobile Ki Files Ko Computer/Laptop Par Kaise Share Kare

Xender se android mobile me files kaise transfer karte hai ye to hum sabhi jante, but ek pc me kaise karte hai ye jyadater logo ko pta nhi hai. Ish liye ish post me main aapko btaunga ki xender se mobile ki files ko laptop/computer me kaise share karte hai. Ya mobile ko pc se bina USB cable ke connect kiye files ko share kaise karte hai ?  iske bare me details se btaunga.


But ush se pahle me aap se kehna chaunga ki ish post ko dhyan se padhe aur last tak jarur padhe, nhi to aapko phone aur pc ko aapas me connect karte waqt preshani ho skti hai.

Xender Se Mobile Ki Files Ko Computer/Laptop Par Kaise Share Kare


To chliye abhi hum iske bare me baat karte hai. Humne iske liye kuch steps btaye hai, aapko unhe follow karna hai.

1. Sabse pahle to aapko apne android phone me xender application ko open karna hai.

2. Uske baad ush mobile me hotspot ON kare.

3. Phir aapko xender me ‘Connect to Pc’ ka option milega, ush par click karna hai. Ye option aapko knhi par bhi mil skta hai, ye depend karta hai ki aap xender ka konsa version use kar rhe hai. Ager aap iska latest version use kar rhe hai to main aapko bta deta hun, ki ye aapko knha milega.

Xender ko open krne ke baad aapko upper left corner me profile icon milega, aapko ush par click karna hai. Uske baad aapke samne kuch ish trah ke options aa jayenge.


Ynha par aapko ‘More’ par click karna hai, uske baad aapko ‘Connect To PC’ ka option mil jayega, aapko ush par click karna hai. Uske baad aapke samne aisa page open ho jayega.


4. Ynha par aapko Scan par click karna hai, uske baad aapke mobile ka camera open ho jayega.

Abhi mobile me aapka kaam pura ho chukka hai, abhi aage ke steps aapko apne pc me follow karne hai. But ush se pahle aap ek phir se check kar le ki mobile ka hotspot wapas off to na ho gya ho, kyunki kai baar xender use karte waqt wo automatic off ho jata hai. Ish liye aap check kar le, aur ager wo off ho gya ho to ushe wapas ON kar le.

Ye Bhi Padhe...

5. PC me sabse pahle aapko wifi ON karna hai aur mobile ke hotspot se ushe connect karna hai.

6. Uske baad pc ke chrome browser ya other kisi browser ko open kare aur URL me web.xender.com likh kar search kare.

7. Uske baad aisa page open ho jayega.


Ynha par aapko ek QR code milega, ishe aapko apne ush mobile ke open camera me scan karna hai. Scanning complete hote hi aapka mobile aur pc xender ke through aapas me connect ho jayenge, aur aapke samne aisa page open ho jayega.


8. Ynha par aapko aapke mobile ka pura data categories ke hisab se mil jayega, aapko jo file apne computer ya laptop me transfer karni ho ushe aap kar skte hai.

File transfer ya share kne ke liye her file ke niche aapko ushe download krne ka icon milega, aapko ush par click karna hai, uske baad wo file aapke pc me download ho jayegi, aap downloads me jakar check kar skte hai.


Ager ish trike se aapke mobile aur pc xender ke dwara ek dusre se connect na ho to niche diye gye steps follow kare

1. QR code scan karne ke baad aap ek baar phir se check kar ki phone me hotspot On ya nhi, ager nhi hai to ushe ON kare.

2. Apne computer/laptop me check kare ki wo wifi ke through ush mobile se connect hai ya nhi, ager na ho to ushe connect kare.

3. Ager mobile aur pc aapas me connect ho aur to aapko apne pc me xender ke webpage ko F5 press karke refresh karna hai, uske baad aapke samne mobile ki sabhi files aa jayengi. Jiske baad aap unhe transfer kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap apne mobile ka data bina USB cable ke xender ke through apne computer ya laptop me share ya transfer kar skte hai. Ager aapko isme koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

Friends ager aapko ye jankari Xender Se Mobile Ki Files Ko Computer/Laptop Par Kaise Share Kare achhi lge to ishe apne dosto ke sath bhi share kare taki unko bhi iske bare me pta chal ske.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ