Twitter Account Ko Delete Kaise Kare

How to Delete/Deactivate Twitter Account ?


Friends twitter bhi facebook ki trah ek social site hai jis par hum account bna kar duniya ke sath apne vichar share kar skte hai, ish liye lagbhag hum sabhi ka twitter aur facebook jaisi socai sites par account hota hai.

But hum me se jyadater log aise hote hai jo twitter par account to bna lete hai but kabhi ushe use nhi karte hai. Ish liye wo account ko delete karne ki kosis karte hai, kyunki jaisa ki aap jante hai ki twitter par hum jis number ya email se id bnate hai ush par twitter ki traf se bahut sare messages aur mails aate rehte hai jinse hum bahut jyada preshan ho jate hai.

Un messages aur mails se preshan hokar hi jyadater log apne twitter account ko delete karne ke bare me sochte hai, halaki aapko reason kuch aur bhi ho skta hai.

Ye Bhi Padhe...

Reason chahe koi bhi but humara main target apne twitter account ko delete karna hota hai, but bahut se logo ko iske bare me pta nhi hota hai, ish liye wo twitter se apni id ko deactivate nhi kar pate hai.

So ishi baat ko dhyan me rakhte huye aaj ish article me hum aapko ishi ke bare me btane wale hai ki apne twitter account ko delete kaise karte hai ?

Twitter account ko delete kaise kare

Twitter Account Ko Delete Kaise Kare ?

Iske liye humne kuch steps btaye hai, inhe follow kare.

1. Sabse pahle apne mobile ya computer me twitter ki site par jaye aur apne account ko log in kare.

2. Uske baad apni profile photo par click kare.

3. Phir ish trah se kuch option aa jayenge.

Twitter profile

Ynha aapko ‘Security & Privacy' par click karna hai.

4. Uske baad aisa page open ho jayega.

Twitter account profile

Ynha aapko sabse niche Deactivate your Account ko option mil jayega, aapko ush par click karna hai.

5. Uske baad aisa page open hoga.

Deactivate twitter account

Ynha par likha hua hai ki ek baar account ko delete karne ke baad ager aap 30 days ke ander ander apne account ko wapas log in nhi karte hai to twitter se aapka account humesha ke liye delete kar diya jayega.

So ager aap apne twitter account ko delete karne ke baad ushe phir se recover karna chahe to 30 days ke ander ander aap ushe wapas login karke recover kar skte hai.

Account recover krna hai ya nhi ye to baad ki baat hogi but pahle hume apne account ko delete krna hai ish liye 'Deactivate' button par click kare.

6. Uske baad next page me aapko apne ush account ke password dalne hai aur phir se Deactivate button par click kar dena hai. Bas uske baad aapka twitter account deactivate ho jayega aur 30 days ke baad wo humesha ke liye completely delete ho jayega.

To ish trike se aap apne twitter account ko delete kar skte hai. Friends ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To dosto ummid karta hu ki Twitter account ko Delete/Deactivate kaise karte hai ? ye jankari aapko jarur pasand aayi hogi, hume comment karke jarur btaye ki aapko ye article kaise lga.

एक टिप्पणी भेजें

1 टिप्पणियाँ