Whatsapp Me New Strikers Kaise Add Kare

Whatsapp Me Kisi Ka Bhi Sticker Kaise Add Kare ?

Dosto jaisa ki aap jante hai ki whatsapp me haal hi me stickers naam se ek nya feature add hua hai. Jiski madad se ab hum facebook ki trah whatsapp par bhi apne dosto ko stickers send kar skte hai.

But abhi filhaal whatsapp me bahut hi kam stickers add kiye gye hai. Ish liye hum sabhi apne whatsapp me apni pasand ke aur bhi bahut sare stickers add krne ke bare me sochte hai.

How can I add stickers to WhatsApp, how do I add stickers to my WhatsApp gallery, 

Whatsapp Me New Strikers Kaise Add Kare

But whatsapp me new stickers kaise add karte hai ? Ye jyadatar logo ko pta nhi hota hai, aur jo jante hai, unhone bhi youtube par iska koi video dekha hota hai.

Youtube par btaye gye trike kaam to karte hai, but uske liye hume apne mobile me 2, 3 apps download krne padte hai aur whatsapp me stickers add krne ke liye hume unme apna bahut sa time waste bhi krna pdta hai, tab jake wo stickers humare whatsapp me add hote hai.

Iske alawa un triko se hum apni pasand ke sabhi stickers bhi whatsapp me add nhi kar pate hai.

But aaj yaha hum aapko whatsapp me new aur apne pasand ke stickers add krne ka sabse aasan aur fast trika btayenge. Jiske dwara aap bahut hi aasani se apni pasand ka koi bhi striker whatsapp me add kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To chliye abhi jyada time waste na karte huye hum jan lete hai ki whatsapp me new strikers kaise add karte hai ?

Whatsapp Me New Stickers Add Krna Ka Sabse Easy Trika

Friends whatsapp me aapko jis kisi ke bhi stickers add krne ho, pahle aapko unke download krna hoga.

Stickers download krne ke liye aapko koi app download krne ki jarurat nhi pdegi, balki aap direct google se bhi stickers download kar skte hai.

Google Se Whatsapp Strikers Kaise Download Kare.


1. Iske liye sabse pahle yaha click karke google image site par jaye.

2. Uske baad aapko jiske stickers chahiye, wo keywords likh kar search kare. Jaise maan lijiye aapko PUBG ke strikers chahiye to PUBG PNG likh kar search kare.

Bilkul waise hi maan lijiye ki aapko Akshay Kumar ke stickers download krne ho to Akshay Kumar PNG likh kar search kare.

Yaad rhe aap jo bhi search kare, uske aage PNG word jarur likhe, tabhi aapko uske stickers milenge.

3. To jab aap search kar lenge to ish trah se google image results aapke samne open ho jayenge. In me se aapko jo bhi sticker ya PNG download krna ho ush par click kar de.

whatsapp png stickers

Click krne ke baad thoda wait kare, uske baad wo sticker ya PNG image ish trah se open ho jayegi.

whatsapp latest stickers collection

Yaad rkhe jab ush PNG image ka background remove ho jaye, tabhi aapko ushe download karna hai. Ish liye aapko background remove hone tak wait krna hoga. Background remove hone me kai baar thoda time lag jata hai, but jab tak uska background puri trah se remove na ho tab tak wait kare aur uske baad ushe download kar le.

Ush image ko download krne ke liye ush par long press kare. Uske baad aapke samne kuch options aa jayenge. Unme ek Download Image ka option bhi hoga. Aap ush par click karke ush PNG ko download kar skte hai. ( Ye trika chrome browser me kaam krega. )

Ish trike se aap kisi ke bhi stickers download kar skte hai. aapko kam se kam 3 stickers download krne hai, uske baad hi aap unhe whatsapp me add kar payenge.

Whatsapp Me New Strikers Kaise Add Kare 

Jab aap apne pasand ke sabhi stickers google se download kar le, to uske baad aapko unhe whatsapp me add krna hoga.

Iske liye aapko play store se ek app download krna hoga. Jiska naam 'Personal Stickers for Whatsapp' hai.

Ish app ko abhi download krne ke liye yaha click kare.

1. Download krne ke baad ishe open kare.

2. Uske baad ish app me aapke mobile ke jitne bhi folders me stickers ya PNG images hongi, wo aapke samne aa jayengi.

add whatsapp stickers

Yaha aapko jis bhi folder ke stickers whatsapp me add krne ho, uske samne wale ADD button par click kar de. Uske baad wo sabhi stickers whatsapp me add ho jayenge aur aap unhe apne dosto ke sath whatsapp par share kar payenge.

Inke alawa ager aap apne khud ke stickers whatsapp me add krna chahe to wo bhi kar skte hai. But iske liye pahle aapko apni photo ka background remove karke uski PNG image bnani hogi. Uske baad ish app ki madad se aap unhe bhi whatsapp me add kar skte hai.

Photo ka background remove kaise karte hai ? Yaha click karke aap iske bare me detail se jan skte hai.

Ok to ish trike se aap bahut kam samay me apni pasand ke sabhi stickers whatsapp me add kar skte hai. 

Dosto whatsapp me new aur latest stickers collection dekhne ke liye yaha click kare

Ye Bhi Padhe...

To dosto ummid krta hu ki ye article aapko jarur pasand aaya hoga. Ager aapko whatsapp me apni pasand ke stickers add krne ke liye ye trika easy lga ho to please ish post ko apne friends ke sath bhi jarur share kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ