Banned Whatsapp Number Ko Unban Kaise Kare

How to unban banned whatsapp number:- Dosto whatsapp me hum sabhi ko bahut hi mazedar aur kaam ke features milte hai jinke dwara hum apni family aur friends se aur bhi behtar trike se contact me reh skte hai. whatsapp ki aisi hi top 30 tips and trick janne ke liye click kare.

But bahut se log whatsapp ke in features ka galat istemal karte hai aur whatsapp ki term and conditions ko follow nhi karte hai. Ish liye aise logo ke account ko whatsapp block/ban kar deta hai. Ek baar account ya mobile number ban hone ke baad ush mobile number se whatsapp par dubara account nhi bnaya ja skta hai, jab tak ki whatsapp ush mobile number ko wapas unbanned na kar de.

Banned Whatsapp Number Ko Unban Kaise Kare

Ish liye aaj ish article me hum aapko ishi ke bare me btayenge ki whatsapp se ban mobile number ko wapas unban kaise karte hai ? but iske bare me btane se pahle hum ye janne ki koshish karte hai ki aakhir whatsapp kisi bhi account ko ban kyu karta hai.

Whatsapp Number Ban Kyu Hote Hai ?

Ager koi user whatsapp ki term and condition ko follow nhi karta hai to ush mobile number ko whatsapp use krne se ban kar diya jata hai. Jaise…

  • Gb whatsapp use krna
  • Whatsapp par adult aur fake message send krna.
  • Whatsapp par bahut se users se block ho jana.
  • Whatsapp par malware aur illegal files send krna.
  • Whatsapp coding ke sath chhed chhad krna.

Iske alawa bhi whatsapp ke aise bahut se rule hai, jinhe ager aap follow nhi karte hai to aapke account ko whatsapp bina kisi warning ke ban kar skta hai. Whatsapp ke top 10 rules ke bare me humne alag se ek article likha hai, aap chahe to niche click krke wo bhi padh skte hai.


To abhi aap jan gye honge ki whatsapp par kisi bhi account ko ban kyu kiya jata hai. ish liye ab hum aapko btate hai ki whatsapp par apne number ko unban kaise krate hai.

Banned Whatsapp Number Ko Unban Kaise Kare ?


Apne whatsapp number ko unban krwane ke liye aapko whatsapp support team ko support@whatsapp.com ish email id par ek mail send krna hoga aur ush mail me aapko unhe ye btana hai ki aapke mobile number ko by mistake ban kiya gya hai, ish liye mere number ko wapas unban kare.

Ager aapko mail send krna nhi aata hai ? to ye post padhe.


Yaha niche hum ek mail type kar rhe hai. aap ishe copy karke whatsapp support team ko send kar skte hai.

"Whatsapp number:- +91( mobile number )
Sir my mobile number is banned for using whatsapp. This is a big mistake by your side, please reviews my account once again and unban my mobile number."

Ish message ko copy kre aur message me sabse upper country code ke baad apne mobile number dale aur support@whatsapp.com ish email id par send kar de. 72 hour ke ander ander aapko whatsapp ki traf se reply aa jayega. Aur ager aapne whatsapp ki term and conditions ko break nhi kiya hoga to aapke whatsapp number ko wapas unban kar diya jayega.


FAQ

Kya GB WhatsApp Use Karne Se Whatsapp Number Ban Ho Sakte Hai ?

Ji Haa, agar aap gb whatsapp use karte hai to aapke whatsapp number ban ho sakte hai.

Kya Ban Whatsapp Number Unban Ho Sakte Hai ?

Whatsapp number ban ho jane ke baad aap whatsapp team ko ek mail send kar sakte hai, jiske baad kafi jyada chance hote hai ki aapke number unban ho jayenge.

Whatsapp Number Ban Kab Hota Hai ?

Jab koi user whatsapp ki policies ko nahi mante hai tab uske number ban kar diye jate hai.

Kya Whatsapp Jyada Chlane Se Number Ban Ho Sakta Hai ?

Nahi aap official whatsapp ko chahe kitna bhi chlaye ush se aapke number ban nahi honge.

Whatsapp Unban Request Message Me Kya Likhe ?

Whatsapp unban request message me aapko whatsapp se request karni hai ki wo aapke number ko unban kar de.

Whatsapp Unban Request Message Kaise Type Kare ?

Niche ham aapko pura message type karke bta rhe hai aap same waisa hi message likh de.

Whatsapp number:- +91( mobile number )

"Sir my mobile number is banned for using whatsapp. This is a big mistake by your side, please reviews my account once again and unban my mobile number."

Whatsapp Unban Request Message Konsi Email ID Par Bheje ?

Whatsapp ki official support mail id support@whatsapp.com hai.


Ye Bhi Padhe...

Ish trike se aap banned whatsapp number ko unban kar skte hai. ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment krke puchh skte hai. 

एक टिप्पणी भेजें

1 टिप्पणियाँ