Kine Master Me Audio Fade Out Kaise Band Kare

What is Audio Fade Out in Kine master:- Ager aap ek youtuber hai aur apne mobile se aksar videos edit karte rhte hai to aap Kine Master video editing application ke bare me to jarur jante honge. Kyunki kine master mobile video editing ke liye sabse best application hai.

Kine master me hume aise bahut se options mil jate hai, jo ki baki video editing apps me nhi milte hai.

But kine master se video edit krne me ek chhoti se problem ye aati hai ki ish se hum jo bhi video edit karte hai, ush video ke last ke kuch seconds ki audio ki aawaj bahut kam ho jati hai, jise Fade Out kaha jata hai.

Kine master me video edit krne par audio ki volume kam ho jati hai, ush audio facebook out ko band krna hai

Kine master se hum jo bhi video edit karte hai. uske audio ke last ki 4 seconds ki volume Fade Out ke karan automatically hi down ho jati hai. jo ki bahut jyada ho jati hai, aur short videos me audio fade out use krne ki bilkul bhi jarurt nhi hoti hai.

But jaisa ki aap jante hai ki kine master me audio fade out by default her video me apply ho jata hai. Ish liye na chahte huye bhi hume apne video me audio fade out effect ko use krna pdta hai.

But aapki jankari ke liye mai btana chahunga ki kine master me audio fade out ko band krna bahut hi aasan hai. Ager aap apne kine master me ish feature ka use nhi krna chahte hai ? to aap ishe band bhi kar skte hai. Iske liye humne niche kuch steps btaye hai, inhe follow kare.


Kine Master Me Audio Fade Out Band Kaise Kare ?


1. Sabse pahle Kine Master app open kare.

2. Uske baad ‘Empty Project’ select karke gallery se wo video select kare, jise aap edit krna chahte hai. (Aap pahle se create project ko bhi open kar skte hai.

3. Uske baad aapke smane aisa page open ho jayega.

Kine master settings

Yaha aapko ‘Setting’ icon par click krna hai.

4. Uske baad aage aisa page open ho jayega.

Kine master audio fade out band kare

Yaha aap niche ‘Audio Fade Out’ ka option dekh payenge, aapko ishe Off kar dena hai. Ager aap chahe to ish setting ko band na krke Audio Fade Out ki limit 4 seconds se kam bhi kar skte hai.

Bas itni setting krne ke baad ush project me audio fade out ke karna video ki aawaj kam nhi hogi.

Note:- New project create krne par aapko her baar kine master ki settings me jakar ish setting ko off krna hoga. Kyunki new project me ye setting automatically On rehti hai.


FAQ

Kine Master Me Video Ka Audio End Me Slow Kyu Ho Jata Hai ?

Aisa audio fade out on hone ke karan hota hai.

Kine Master Me Video Ki Voice End Me Band Kyu Ho Jata Hai ?

Audio fade out on hone ke wajah se aisa hota hai.

Video Ki Voice End Me Band Nahi Honi Chahiye Kya Kare ?

Iske liye Kine Master Audio Settings me jakar fade out ko band krna hoga.


Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap kine master video editing app me audio fade out setting ko band kar skte hai. ager aapko ish process me koi problem aaye ya aapka ish se related koi bhi sawal ho to aap comment krke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ