Facebook Par Apni Friend List Ko Kaise Hide Kare

How to hide friend list from facebook profile:-
Friends facebook par humari kuch details by default public hoti hai ish liye humari un personal details ko fb par koi bhi dekh skta hai. jaise humari friend list, date of birth, contact number, etc.

Ab jin logo ko facebook par contact number, friend list aur baki personal details ko facebook se hide krna aata hai wo to aasani se apni in personal details ko facebook se hide kar dete hai.


But facebook par jyadater log aise hi hote hai jinhe iske bare me jankari nhi hoti hai. unhe ye pta nhi hota hai ki facebook par apni friend list ko hide kaise karte hai ? ish liye wo aisa nhi kar pate hai.

Facebook Par Apni Friend List Ko Kaise Hide Kare

Ish liye ishi baat ko dhyan me rakhte huye aaj ish article me hum aapko ishi ke bare me btane wale hai ki facebook par apni friend list ko kaise hide karte hai ?


Facebook Par Apni Friend List Ko Kaise Hide Karte Hai ?


1. Iske liye sabse pahle Facebook application open kare aur apne account ko usme login kare. Aap kisi browser me fb ki site par jakar bhi ye process kar skte hai.

2. Iske baad Menu button ( 3 lines ) par click kare.

3. ‘Settings’ par click kare.

4. ‘Privacy Settings’ par click kare.

5. Uske baad aapke samne ish trah se bahut sare option aa jayenge.


Ynha aapko ‘Who can see your friend list?’ par click krna hai.

6. Uske baad next page me phir se aapko kuch options milenge, ynha aapko “Only Me” select krna hai.

Bas iske baad facebook par aapki friend list hide ho jayegi aur iske baad aapke kisi bhi fb friend ko aapki friend list dikhai nhi degi.

Ye Bhi Padhe...

Note:- aapke aur aapke facebook friends ke mutual friends ki list fb par dikahi degi.

To ish trike se aap facebook par apni friend list ko chhipa skte hai. to friends I hope ki ye article facebook profile se friend list kaise hide kare in hindi ? aapko pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare. 

एक टिप्पणी भेजें

1 टिप्पणियाँ

  1. I love the way the content of the article is represented. The info-graphic way to explain the topic fact seems interesting and engaging. thanks for sharing,

    जवाब देंहटाएं