Apne Electricity Bill Me Mobile Number Kaise Change Kare ?

Electricity Bill Me Mobile Number Kaise Badle ?

How to update mobile number in electricity bill ? namskar dosto ish article me hum baat krne wale hai ki humare ghar par her mahine jo electricity bill aata hai, usme jo mobile number hote hai, unhe kaise change karte karte hai.

So ager aapke electricity bill me aapke mobile number nhi hai ya jo number usme hai wo abhi band ho chuke hai to aapko turant apne mobile number ko change kar lena chahiye.

Kyunki electricity office me humare jo mobile number diye hoye hote hai, humare bill ki sari jankari ushi number par aati hai. jaise ish mahine humara bijli bill kitne rupay ka aaya hai ?, iske alawa next day me kab kab bijli nhi rhegi ? iski jankari bhi hume prapat hoti hai. sath hi bijli vibhag ki traf se aur bhi bahut si jankari ush number par bheji jati hai.

So ish liye humare electricity bill me humare khud ke mobile number hona bahut jaruri hai. Ager aapke electricity bill me aapke old number hai ya galat number hai to aap niche btaye gye trike se apne electricity bill me se apne phone number ko change kar skte hai.

Apne Electricity Bill Me Mobile Number Kaise Change Kare ?

Yaha mai aapko Jodhpur Vidyut Vitran Nigam Limited Electricity Bill ke mobile number change krne ke bare me bta rha hu, par ish trike se aap kisi bhi electricity company/board ke bill ke mobile number change kar skte hai.

Apne Electricity Bill Me Mobile Number Kaise Change Kare ?


kisi bhi bijli bill ke mobile number change ya update krna bahut hi aasan hota hai, par jyadater logo iske bare me pta nhi hota hai.

Iske liye bas aapko ush electricity board ya company ke toll free number par call krna hai aur unhe btana hai ki aapke electricity connection ke sath jo mobile number registered hai, wo number band ho chuke hai ish liye abhi aap apne number change krna chahte hai.

Wo aapse kuch normal si detail puchhenge jaise K Number, Connection kiske naam hai, uska address etc. aapko simply sabhi jankari sahi se bta deni hai, uske baad 24 hours ke ander ander aapke mobile number update ho jayenge.

Ye Bhi Padhe...

Kisi Bhi Electricity Board Ke Helpline Number Kaise Pta Kare ?


Apne electricity board ke helpline number pta krne ke liye aapko kisi se bhi puchhne ki jarurt nhi pdegi. Aapko apne electricity bill par ush board ke helpline number mil jayenge, iske alawa aap google me search krke bhi apne bijli board ke helpline number pta kar skte hai.

Iske baad bhi ager aap apne board ke toll free number pta  na kar paye to aap niche comment kar skte hai, hum aapke board ke helpline number pta karke aapko bta denge.


FAQ

Bijali Bill Me Mobile Number Kaise Jode ? 2024

Aapka electricity connection jis bhi company ka aap ush company ke nearest office me jake apne bijali bill me mobile number judwa sakte hai.

Kya Hum Online Apne Electricity Bill Me Number Jod Sakte Hai ?

Hi haa, aap apni electricity company ki website par jakar online mobile number update karne ka form bhar sakte hai.

Apni Electricity Company Ke Helpline Number Kaise Pta Kare ?

Aap apne electricity bill ke pichhe dekhe waha aapko electricity company ke helpline number mil jayenge.

Electricity Bill Me Purane Number Ki Jagah Naye Number Kaise Jode ?

Aap apne electricity office me jake purane number ki jagah naye number judwa sakte hai.

एक टिप्पणी भेजें

6 टिप्पणियाँ