Google Plus Profile Me Custom URL Kaise Set Kare

Friends Google plus duniya ki top social sites me se ek hai jise millions log use karte hai. Ager aap bhi unhi me se ek hai to ye article aapke bahut hi kaam aane wala hai ish liye ishe last tak jarur padhe.

Friends jaisa ki aap jante hai ki humari google plus ki profile ka jo url hota hai wo by default numbers aur codes me hota hai jo ki long aur complicated hota hai ish liye ushe yaad rakhne me aur google me search karne me humesha dikkat aati hai, but aapne dekha hoga ki kuch logo ki profile ka URL link bahut easy aur unke naam ke according hi hota hai.


To unhe dekh kar aap bhi ye jarur sochte honge ki aakhir google plus ki profile ka link kaise change karte hai ya google plus me custom URL link kaise set karte hai ? To in sawalo ke jwab aaj aapko ish post me milne wale hai. To chliye abhi time waste na karte huye hum aapko iske bare me bta dete hai.


Iske bare btane se pahle main aapko btana chahunga ki sabhi google plus users apni profile me custom url set nhi kar skte hai. Custom url set karne ke liye iski kuch conditions hai, jinhe jo user pura karta hai sirf wohi apni profile ka link change kar skte hai.

Iske Liye Kya Kya Conditions Hai ?

1. Iske liye aapki profile par kam se kam 20 followers hone chahiye.

2. Ush account par aapki real profile pitcher honi chahiye.

3. Iske alawa ush account par aapki 2, 4 post bhi ki hui honi chahiye.

Jab aap ye kuch conditions puri kar denge to uske baad aap apni google plus profile par custom url set kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

Google Plus Par Custom URL Kaise Set Kare ?

Jab aap ye conditions puri kar le to uske baad aap apni profile ke liye ek custom link create kar skte hai. To abhi hum maan lete hai ki aapne ye conditions puri kar li hai ish liye abhi aap apni profile ka link change karna chahte hai. To iske liye step follow kare.

1. Sabse pahle apne mobile ke chrome browser me jaye aur google plus ki site par jakar apne ush account ko log in kare, jiska link aap change karna chate hai.

2. Phir apni profile par jaye. Wnha aapke samne aisa page open hoga.


Ynha par aap dekh payenge ki aapki profile ke liye ek custom URL available hoga. Ynha aapko ‘CLAIM URL’ par click karna hai.

3. Phir aisa page open hoga.


Ynha par apna profile link select kar le aur term and conditions ko bhi accept kar le. Uske baad ‘Save URL’ par click kar de.

4. Phir next page me phir se ‘Confirm URL’ par click kar de.

Uske baad aapke samne profile ka url successfully change hone ka message show ho jayega aur aapki google plus ki profile ka link change ho jayega.

Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap apni google plus profile ka URL link customize karke change kar skte hai. Ager aapko ish process me koi problem aaye ya ager aapka other koi sawal ho to aap comment karke puchh skte hai.

I hope ki ye jankari aapko pasand aayi hogi, Ager aapko ye article achha lge to ishe apne dosto ke sath bhi share kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ