Mobile Se Computer Me Internet Kaise Chlaye - Without WiFi

Friends aaj ish post me hum aapko btane wale hai ki apne android mobile ka internet computer me kaise chlate hai ? so ager aap iske bare me janna chahte hai to ish post ko last tak jarur padhe.

Mobile se computer me internet kaise chlaye

Dekhiye friends ager humare computer ya pc me wifi ya Bluetooth system available ho tab to hum bahut hi aasani se apne mobile ke internet ko pc me share kar skte hai. But ager humare computer me wifi ya Bluetooth facility available na ho tab hume mobile internet ko computer par share karne me problem aati hai.

Kyunki jyadater logo ko pta hi nhi hota hai ki bina wifi aur Bluetooth wale computer me mobile se internet kaise chlate hai ? ya hotspot aur wifi ke bina computer me internet kaise chlate hai ?

Ye Bhi Padhe...

To ager aapko bhi nhi pta hai ki hotspot aur wifi ke bina mobile internet ko computer me kaise use karte hai to koi baat nhi hai, kyunki aaj ish post ko pdhane ke baad aap bahut hi aasani se aisa kar payenge.

To iske bare me btane se pahle me aapko btana chahunga ki iske liye aapko ek USB Cable ki jarurat pdegi. Ish liye aapke pass ek USB cable honi chahiye.

Ager aapke pass USB cable nhi hai to aapko new cable khridne ki jarurat nhi pdegi, kyunki aaj kal jyadater mobile charge bhi USB cable wale hi hote hai, so aap apne mobile ke charger wali USB cable bhi use kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To chliye abhi jyada time waste na karte huye hum aapko bta dete hai ki USB cable se mobile internet ko pc me kaise chalte hai ?

1. Iske liye sabse pahle apne mobile me Internet connection ko ON kar lijiye.

2. Uske baad apne mobile aur computer ko USB Cable ke dwara connect kare.

3. Uske baad mobile me kuch usb options aa jayenge, jo ki sab mobile me alag alag hote hai, aapko ush option ko select krna hai, jis se internet bhi access kiye ja ske. Jaise aapko ager All ka option mile to ushe select kar le.

4. Uske baad apne mobile ki Settings me jakar USB Tethreing ko ON kar de. USB Tethrering ka option aapko Settings me hi mil jayega. Ushe on kar de.

Bas uske baad aapka computer mobile se connect ho jayega aur iske baad aap wifi, Bluetooth, aur dongle ke bina bhi apne mobile se computer me internet chla payenge.

Ye Bhi Padhe...

To dosto ummid karta hun ki ye post aapko jarur pasand aayi hogi. Ager aapko ye jankari data cable se computer me net kaise chalaye ? achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi share kare aur ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke bhi puchh skte hai.

Tags:- mobile hotspot se computer me net kaise chalaye, android phone ko pc se kaise connect kare, 

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ