Bina Volume Buttons Ke Mobile Ki Aawaj Control Kaise Karte Hai

Volume up and down buttons not working in android:- Kya aapke android mobile ka volume up ya down wala button kaam nhi kar rha ? Ager nhi kar rha hai aur aap ye soch rhe hai ki volume buttons ko thik kaise karte hai ya bina volume buttons ke android mobile ki aawaj control kaise karte hai to ish post ko last tak jarur padhiyega, kyunki ish post me main aapko yahi batane wala hu.

Bina volume buttons ke android mobile ki aawaj control kaise karte hai

Friends bahut si baar aisa hota hai ki kuch reasons ki wajah se humare mobile ka volume up ya volume down wala button kaam karna band kar deta hai, ish karan se hume apne mobile ki volume ko kam jyada karne me problem hoti hai.

Ye Bhi Padhe...

Ab ish problem ko solve karne ke liye pahle to hum khud volume button ko thik karne ki kosis karte hai, jab wo thik nhi hota hai, tab ya to hum kuch jugad karke mobile ki volume adjust karte hai ya phir usko kisi service center par dikhate hai. Jiska hume kuch charge bhi dena padta hai.

But ab aapko itna sab karne ki jarurat nhi padegi, kyunki aaj ish post me main aapko ek aisa trika btauga jis se aapki ye problem solve ho jayegi. Dosto ish post me main aapko ek aisa trika btauga jis se aap bina volume buttons ke bhi apne mobile ki volume kam jyada kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To chliye abhi jyada time waste na karte hue main aapko wo trika bta deta hu. Friends iske liye sabse pahle aapko play store se ek app download karna hoga. Jiska naam Volume Notification hai. Ye size me bahut hi chhota sa app hai, jo aapko play store par aasani se mil jayega.

Volume Notification App Abhi Download Krane Ke Liye Yaha Click Kare

Ish app ko use karna bahut hi easy hai, ishe download karne ke baad aapko simply ishe open karna hai. Uske baad aapke samne aisa page open ho jayega.

Volume notification app home page

Yaha par aapko bahut sari volume types mil jayengi. Aapko aapke mobile me jin jin volumes ko adjust karna ho unhe enable kar le. Uske baad aap apne mobile ki notification bar me un volumes ko adjust kar skte hai. Niche image me dekhe.

Android mobile notification bar

To ish trike se aap ish app ko install karne ke baad apne mobile ki sabhi volumes ko bina volume buttons ke bhi apne hisab se adjust ya control kar skte hai. Ager aapko ish application ko use karne me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.


FAQ

Bina Volume Buttons Ke Aawaj Control Karne Wala App Konsa Hai ?

Volume Notification app se hum bina volume button ke phone ki aawaj control kar sakte hai.

Mobile Ka Volume Button Kaam Nahi Kar Rha Kya Kare ?

Agar mobile ke volume button kaam nahi kar rhe hai to aap Volume Notification app download kar sakte hai, ish app se aap notification se volume control kar sakte hai.

Mobile Volume Button Kaise Thik Kare ?

Agar aapke mobile me volume button khrab ho gye hai to aap play store se aisa app download kar sakte hai jisse aap bina volume button ke bhi phone ki aawaj control kar sakte hai.


Ye Bhi Padhe...

To friends ummid karta hu ki ish application ko install karne ke baad aapki ye problem solve ho jayegi. Ager aapko ye post achhi lge to ishe apne friends ke sath share jarur kare.

Tags:- mobile volume button not working, volume button on screen android, volume up and down buttons not working, 

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ