Online Pension Status Kaise Check Kare

How can I check my pension details online:- Friends india me national pension scheme ke dwara lakho old age aur widow mahilao ko government ke dwara her mahine 500 se 1500 rupay unke bank account me transfer kiye  jate hai.

Ager hum Rajasthan ki baat kare to Rajasthan me pension dene ka kaam ‘Social Security Pension Vibhag’ ke dwara kiya jata hai.

Koi bhi vykti Rajasthan Social Security Pension Vibhag ki website par jakar apni pension ko status check kar skta hai aur jan skta hai ki ab tak uski application ka kya status hai.

Online Pension Status Kaise Check Kare

Ager aapki pension application pahle se approve hai to ish website par jakar aap check kar skte hai ki aapke bank account me kab kab pension aayi hai aur kitne rupay aapko pension ke rup me mile hai.

Iske alawa ager aapko pension milne se lekar koi complaint krni ho to wo bhi aap ish website ki madad se kar skte hai.

Yaha hum aapko pension status online kaise check karte hai ? yani ki pension ke paise bank account me aa rhe hai ya nhi ? iske bare me batane wale hai. To ager aap ek pensioner hai ya aapke ghar me koi pensioner hai to aap uske application number se online pension status check krke jan skte hai ki uske bank account me pension ke paise aa rhe hai ya nhi.


How To Check Pension Status Online ?


Ager aap rajasthan se hai ? aur Widow pension/Old age pension ke paise bank account me aa rhe hai ya nhi ? iske bare me aapko janna hai ? to iske liye aapko niche btaye gye steps follow krne hai.

1. Sabse pahle yaha click krke ssp.rajasthan.gov.in ki website par jaye.

2. Uske baad ‘Reports’ par click kare.


3. Phir ‘Pensioner Online Status’ par click kare.

4. Uske baad aisa page open ho jayega.


Yaha aapko ush pensioner ke application number dalne hai, jiska status aapko dekhna hai.

Note:- Application number ‘RAJ-A-09472014’ kuch ish trah ke hote hai. aapko sirf number number hi dalne hai. jaise ‘09472014

Application number dalne ke baad image me dikh rha code dale aur ‘Show Status’ par click kar de.

Iske baad ush pensioner ki puri detail aapke samne aa jayegi ki uske bank account me kab kab aur pension kitne paise aaye hai.


Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap online widow aur old age pension status check kar skte hai aur jan skte hai ki pension ke paise aapke bank account me aa rhe hai ya nhi.


FAQ Related to Pension Status

Humari Pension Chalu Hai Ya Band Ho Gyi Kaise Check Kare ?

Agar aap rajasthan se hai to aap rajssp ki website par jakar apne PPO number dalkar apni pension ka status check kar sakte hai.

Humari Pension Ke Paise Bank Me Aaye Ya Nahi Kaise Check Kare ?

Aap Rajssp ki website par jakar Pensioner Register option ki madad se check kar sakte hai ki pension ke paise aapke account me aaye ya nahi.

Humari Pension Kab Chalu Hogi ?

Jab aap pension ke liye online form bhar dete hai to uske kuch din baad hi pension chalu ho jati hai. Aap apne PPO number se online hi pension ka status check kar sakte hai.

Pension Ka Status Online Kaha Check Kare ? 

Aap Rajssp ki website par jakar apni pension ka status online check kar sakte hai.

Friends ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ish article ko apne dosto ke sath bhi jarur share kare taki wo bhi apni pension ka online status check kar ske.


Tags:- Check pension status online, check widow pension status, national pension scheme, pension, 

एक टिप्पणी भेजें

6 टिप्पणियाँ