Android Mobile Me Flight Mode Me Internet Kaise Chlaye

How to Use Internet in Android Mobile During Flight Mode ?

Friends aaj ish article me hum aapko batne wale hai ki ager mobile flight mode par ho to usme internet kaise chlate hai ? Ish liye ager aap apne mobile ko aksar flight mode par rakhte hai, to ye post aapke bahut kaam ki hai, ish liye ishe last tak jarur padhe.

Android mobile me flight mode par internet kaise chlaye

Android Mobile me Flight Mode par internet kaise chlaye ? iske liye hum aapko 2trike btayenge, jinke dwara aap apne mobile me flight mode me bhi internet chla skte hai. But inke bare me batane se pahle hum ye janne ki koshish karte hai ki aakhir log apne mobile ko flight mode par karte kyu hai ?

I think iske liye sabhi ka same aur ek hi reason hota hai, aur wo ye ki jab hum kuch samay ke liye nhi chahte ki humare phone par koi bhi call aaye ya kuch samay ke liye koi bhi hume call karke disturb kare, to ush samay hum apne phone ko flight mode par kar dete hai.

Ye Bhi Padhe...

To jab hum mobile ko flight mode par kar dete hai to uske baad humare mobile ki sim cards band ho jati hai, ish jab bhi hume koi call karta hai to ushe humara number band btata hai.

Iske alawa utne samay ke liye hum apne mobile me internet bhi nhi chla pate hai. Kyunki flight mode ON karne ke baad mobile me mojud sabhi sim cards band ho jati hai.

Ab aise me humare pass aisa koi trika nhi hota hai, jis se hum flight mode me bhi internet chla ske. Aur schai bhi yahi hai ki hum flight mode me apne mobile me internet access nhi kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

Ish liye aaj ish post me hum aapko flight mode ke aise 2 alternative batane wale hai, jinko ager aap apne mobile me use karte hai to uske baad aapko koi call bhi nhi kar payega aur aap apne mobile me internet bhi chla payenge.

Android Mobile Me Flight Mode Me Internet Kaise Chlaye 


To jab bhi aap apne phone par kuch smay ke liye koi bhi call attend krna nhi chahe to ush smay aap flight mode ki jgah ye options aapke liye bahut hi achhe rhenge. Kyunki inse aapko apne mobile me sim cards ko band karne ki jarurat nhi pdegi. Jis se aap usme internet bhi chla payenge.

To jo flight mode ka alternatives hai, wo hai 1. Call Forwarding 2. Call Barring

Aap jitney samay ke liye apne phone par call receive nhi karna chahte, utne samay ke liye apne number ko kisi wrong aur band number par divert kar dijiye.

Jab aap apne number ko kisi band number par forward kar denge, to uske baad jab bhi aapko koi call krega to uske call ko forward/divert kar diya jayega aur aapke number par call nhi aayega. Iske alawa ish period me aap apne mobile me internet bhi chla payenge.

Aur jab aap call receive karna chahe tab call diverting ko wapas band kar de, to uske baad aapke number par calls wapas pahle ki trah aana start ho jayenge.

To I think flight mode ka ye ek bahut hi achha alternative hai. Jise aap use kar skte hai. To abhi hum jan lete hai ki call divert kaise karte hai aur ushe wapas band kaise karte hai.

Ye Bhi Padhe...

Call Divert Kaise Karte Hai ?

Aap jis bhi sim ki calls ko forward ya divert karna chahte hai, ush se apne phone me **21*0000000000#  dial karke run karwaye to wo divert ho jayega.

Yaad rakhe ki aapko apne number ko kisi band number par hi divert karna hai.

Call Divert Ko Band Kaise Kare ?

Call diverting ko band karne ke liye apne mobile me ##002# ye code dial karke ushi sim se run karwa de. Uske baad call diverting band ho jayega.

To ish trike call forwarding ke dwara aap apne incoming calls ko kuch samay ke liye band karke internet use kar skte hai.

Abhi hum dusre trike yani ki Call Barring se incoming calls ko band karke internet chlane ke bare me baat kar lete hai.


Call Barring Se Incoming Call Ko Block Kaise Kare ?

Friends incoming calls ko block krne ka ye sabse aasan aur achha trika hai. Ish trike se aap jitni der tak chahe utni der tak apne number ki sabhi incoming calls ko band kar skte hai aur apne mobile me internet chla skte hai.

Call Barring kya hai ? aur call barring ko kaise use karte hai ? iske bare me maine pahle hi ek puri post likh chuka hu. ish liye ager aapko call barring ke bare me janna hai to abhi niche click karke aap wo post pdh skte hai.


To friends ummid karta hu ki Flight mode me internet kaise chlaye ? ye article aapko jarur pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi share kare.


FAQ

Kya Hum Flight Mode Me Internet Chal Sakte Hai ?

Yes

Flight Mode Me Internet Chlane Ka Code Kya Hai ?

Code dalke flight mode me internet chlane ka koi matlab nahi hai kyunki isme aapke number par incoming call bhi aa jate hai.

Aeroplane Mode Me Internet Chlane Ka Naya Trika Kya Hai ? 2024

Aap apne phone ko calls ko ya to kisi band number par divert kar dijiye ya call barring ka istemal kijiye, bas yahi 2 trike hai jinse aap aeroplane mode bhi internet chla sakte hai.


Ye Bhi Padhe...
Tags:- how to use mobile data in flight mode in android, flight mode internet code,

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ