Laptop Computer Me Whatsapp Kaise Chlaye - How To Use WhatsApp In PC

Friends Whtasapp ek bahut hi popular messenger app hai jo ki sabhi android mobiles me hota hai. Ish liye lagbhag sabhi internet users apne mobile me whatsapp use krte hai.

But kai baar hume apne computer ya laptop me bhi whatsapp chlane ki jrurat pad jati hai. But hum me se sabhi ye nhi jante hai ki computer ya laptop me whatsapp kaise chlate hai ? ish liye wo aisa nhi kar pate hai.

To ager aapko bhi nhi pta hai ki apne computer ya laptop me whatsapp kaise chlate hai ? to ye article aapke liye bahut hi helpful hone wala hai ish liye ishe last tak jarur padhe.

Ye Bhi Padhe...

Laptop Computer Me Whatsapp Kaise Chlaye - How To Use WhatsApp In PC


To chliye abhi jyada time waste na karte huye hum jan lete hai ki computer/pc me whatsapp kaise chlate hai ?

1. To iske liye sabse pahle to aapko apne computer ya laptop me whatsapp ki website Web.whatsapp.com par jana hai.

2. Uske baad aapke samne ish website ka home page ish trah se open hoga.

Laptop Computer Me Whatsapp Kaise Chlaye - How To Use WhatsApp In PC

Ynha par aapko ek QR code dikhai de rha hoga. Isko aapko apne mobile ke whatsapp account se sacn krna hai. Iske liye aapko apne ush mobile me whatsapp ko open krna hai jiska account aap apne laptop ya computer me chlana chahte hai.

3. Mobile me whatsapp ko open krne ke baad ish trah se upper right corner me aapko 3 dots dikhai dengi. Aapko ush par click krna hai.


4. Uske baad aapko ek 'WhatsApp Web' ka option milega, ush par click kre.

5. Phir aapke samne ish trah se page open hoga.


Ynha apko 'OK, GOT IT' par click krna hai. Uske baad QR code scan krne ke liye aapke mobile ka camera on jayega. Ish liye aapko apne mobile se ush laptop/computer wale QR code ko sacn krna hai.

6. Code sacn hote hi ush laptop/computer me aapke mobile wala WhatsApp account open ho jayega. Uske baad aap apne mobile wale whatsapp account  ko apne laptop ya computer me bhi use kar skte hai.

Iske alawa aap ish trike se apne kisi friend/boyfriend ya girlfriend ka whatsapp bhi apne mobile me chla skte hai. Iske liye aapko whatsapp ki site ko computer ki jgah apne mobile me open karna hai, uske baad same wahi process hai jo upper btayi gyi hai.

Ye Bhi Padhe...

To dosto aapko ye post kaisi lgi hume comment karke jrur btaye. Ager aapko ye post achhi lgi ho to ishe apne friends ke sath bhi share kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ