Computer Me Bol Kar Hindi Type Kaise Kare

Friends jaisa ki aap jante hai ki hindi language ko mobile ya computer ke keyboard se type karne me bahut jyada samay lgta hai, ish liye hum humesha apne mobile ya computer me hindi me typing na karke hinglish me karte hai taki hume koi bhi message type karne me jyada time na lge.

But kya aap jante hai ki hum apne mobile ya computer me bina keyboard ki help ke sirf bolkar bhi hindi me type kar skte hai.

Computer Me Bol Kar Hindi Type Kaise Kare

Bol kar apne mobile ya computer me typing karne se humara bahut sa time waste hone se bach jata hai aur hum hinglish se bhi fast typing kar skte hai. Ish liye aapko bhi ye pta hona chahiye ki bolkar hindi me typing kaise karte hai ?

Apni pichhli post me mene aapko btaya tha ki Hindi bolkar mobile me kaise type karte hai ? ager aapne wo post nhi padhi to abhi yaha click kare.

Ish article me main aapko batane wala hun ki computer ya laptop me hindi bolkar kaise type karte hai ? to chliye abhi jyada time waste na karte huye main aapko iske bare me bta deta hun.

Ye Bhi Padhe...

Computer Me Bol Kar Hindi Type Kaise Kare


1. To iske liye sabse pahle aapko apne computer ke browser me Google drive ki site par jana hai.

2. Google drive ki site ish trah se open ho jayegi.


 Yaha aapko ‘New’ par click karna hai.

3. Phir 'Google Docs' par click kare.

4. Uske baad aisa page open ho jayega.


Yaha 'Tools' par click kar de.

5. Uske baad kuch options aa jayenge, aapko 'Voice Typing' par click karna hai. Jab aap ish par click kar denge ish trah se ek Mic aa jayega.


Ager aap chahe to apne keybord se direct Ctrl+Shift+S key press karke bhi ish mic ko la skte hai.

6. Jab ye mic screen par aa jaye to uske baad sabse pahle aapko wo language select karni hai, jis me aap bolkar type karna chahte hai. Ager aap hindi type karna chahte hai to wnha Hindi select kar le.

Uske baad mic par ek baar click karke aap bolna start kar skte hai. Aap jo bhi bolenge wo wnha type hota jayega. Type karne ke baad aap ushe apni google drive me save kar skte hai ya copy karke jaha paste karna ho wnha paste bhi kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

Note:- Hindi bolkar type karte samay dhyan rakhe ki aapke pass koi other voice na ho, nhi to aap achhe se type nhi kar payenge, iske alawa ager aap chahe to achhi typing ke liye mic ko bhi use kar skte hai.

To friends I hope ki Computer me bolkar hindi me type kaise karte hai ? ye post aapko pasand aayi hogi. Ager aapko ye post helpful lge to ishe apne baki dosto ke sath bhi share kare.

एक टिप्पणी भेजें

1 टिप्पणियाँ