Google Drive Me Mobile Ki Sabhi Photos Automatically Upload Kaise Hogi

Mobile ki sabhi photos ko google drive me automatically save kaise kare ? 

Friends humari pichhli post ko padh kar aap jan hi chuke honge ki Google drive kya hai ? Aur google drive me photos aur videos kaise upload karte hai ? Ager aapne wo post nhi padhi to abhi niche click karke aap wo post padh skte hai.


Ho skta hai ki aap pahle se hi jante ho ki google drive me photos ya videos kaise upload karte hai ? But I am sure ki aap ye nhi jante hai ki google drive me mobile ki sabhi photos ko automatically kaise upload karte hai ?

Mobile ki sabhi photos ko google drive me automatically kaise upload kare

Friends Google drive me ek chhoti si setting hai, jise ager hum on kar le to uske baad humare mobile ki sabhi photos google drive me automatically upload ho jati hai. Unke alawa ager hum mobile me koi new photo capture karte hai ya mobile me koi new photo download karte hai to wo bhi google drive me automatic hi save ho jati hai.

Ye google drive ki ek bahut hi achhi setting/feature hai. Kyunki ishe use krne par hume khud se manually google drive me koi bhi photo upload krne ki jarurat nhi pdti hai. Balki mobile ki sabhi photos aur future me hum jo photos mobile me capture krenge ya download krenge wo bhi automatically hi humare phone ke google drive me save hoti rhegi.

To chliye abhi jyada time waste na karte huye hum google drive ke ish unique feature ko kaise use krna hai ? Iske baar me aapko step by step bta dete hai.



Mobile Ki Sabhi Photos aur Videos Google Drive Me Automatically Save Kaise Kare ?


1. Iske liye aapko sabse pahle apne mobile me Google Photos aur Google Drive in dono applications ko download krna hai. Ager ye dono apps aapke mobile me pahle se download ho to aap inhe update jarur kare.

Google Photos app ko abhi download ya update krne ke liye niche download button par click kare.


Google Drive app ko abhi download ya update krne ke liye niche wale download button par click kare.


2. In dono apps ko install karne ke baad sabse pahle Google Photos app me jaye aur check kre ki aapke mobile ki photos ush me dikha rha hai ya nhi.

Ager usme aapke mobile ki koi bhi photo na dikhaye to aapko usme kuch settings krni pdegi. In settings ke bare hum apni pichhli post 'Kisi Dusre Mobile Ki Photos Ko Apne Mobile Me Kaise Dekhe ?' me bta chuke hai. Ish liye iske bare me janne ke liye aapko pahle ye post padhni pdegi. Niche link par click karke aap wo post padh skte hai.


Ager Google Photos app me aapke mobile ki photos dikhaye to aapko aage ke steps follow kare.

3. Iske baad Google drive application open kare aur 3 lines par click kare.


4. Phir iske sabhi options aapke samne aa jayenge, aapko Settings par click krna hai.


5. Phir aisa page open jo jayega.


Yaha 'Auto Add' ke samne wale button button par click karke ishe On kar le.

Bas iske baad aapke mobile me Google Photos app me jitni bhi photos hongi, wo sabhi google drive me upload hona start ho jayegi. But ish process me time lgega. Ish liye aapko jyada se jyada apne mobile ka internet connection on rkhna hai aur wait krna hai.

Uske baad jab aap google drive me jakar check krenge to Google Photos naam ka ek folder dekh payenge, jisme aapke mobile ki sabhi photos save huyi milengi.

Iske sath hi aapke mobile me jab bhi koi nayi photo capture ya download ki jayegi to wo bhi automatically google drive ke 'Google Photos' naam ke ish folder me save ho jayegi.

To ish trike se aap google drive me ek aisi setting kar skte hai jisko on krne ke baad mobile ki sabhi photos automatic hi google drive me upload ho jati hai.


FAQ

Kya Google Drive Aur Google Photos Ek Hi Hai ?

Nahi ye dono alag alag app hai aur inka kaam bhi alag alag hai.

Gallery Se Google Me Photo Kaise Save Kare ? 2024

Aap ish article me btaye gye steps follow karte huye Google photos me Auto Add setting chalu kar dijiye fir gallery ki photo Google me upload ho jayegi.

Kya Mobile Ki Photo Google Drive Me Automatically Upload Ho Sakti Hai ?

Haa aisa ho sakta hai, ish article me ishi ke bare me detail se btaya gya hai.


Ye Bhi Padhe...

To friends I hope ki Google drive me automatically mobile ki sabhi photos kaise upload kare ? ye jankari aapko pasand aayi hogi. Ager aapko ish process me koi bhi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

Friends ager aapko humari tricks ki jankari free me apne mail box ya notification ke dwara apne mobile par chahiye to aap Dainik Tricks ko subscribe kar skte hai. Iske bare me aur adhik detail se janne ke liye yaha click kare.

Tags:- google photos backup and sync, Is there a way to automatically upload photos to Google Drive, how to backup photos from gallery, 

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ